shamiyon zahra ki hai ye betiyan ab rehne do
kar chuke in par bahot hi sakhtiyan ab rehne do
ab ridayein inki wapas kar do in ko zaalimo
shaam ke bazaar hai aur bastiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
zaalimo tum jaante ho kis khadar maqbool hai
bargaah e rab mein ye sab hastiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
aale ahmed ka yehi hai aakhri chashm o chiragh
khol do bemaar ki ye bediyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
ab to na dhao sitam nanhi si jaan par shamiyon
le rahi hai maut ki ye hichkiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
dam nahi itni kahe jo shimr se mat cheeno durr
kehti hai mazlooma ki ye siskiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
lut gaye ahle haram aur jal gaye qaime sabhi
ho gaya pamaal sheh ka aashiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
phat na jaye dil yateema ka sitam ke khauf se
mat dikhao bachi ko yun ghudkiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...
padh ke kehta hai ye aamir ay shanawar loh par
likho na mazloomo ki majburiyan ab rehne do
shamiyon zahra ki hai...