Kanz e Aza

Agai Bint-e-Ali Be Rida Haath Bandhay

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Jis Nay Suuraj Na Kabhi Dekha Tha (x2)

Ro Rahi Hai Wooh Ghuna Gharon Main


Koun Janay Kay Yeh Hain Koun Rassan Pehnay Howay

Be Rida Roti Hai Sajjad Kay Peechay Peechay

Siskiyan Dhubi Hai Jis Bibi Ki

Haye Zanjeeron Ki Jhinkaron Main


Haye Zahra Teri Kismat Na Mila Haq Tujh Ko

Aisi Tazeem Teri Ki Hai Musalmano Nay

Tera Haq Mangnay Aai Zainab

Aik Maynoosh Kay Darbaron Main


Kahan Zainab Aur Kahan Shaam Kay Logon Ka Hajoom

Sir Barhaina Unchi Awaz May Khutbay Parhna

Khatm E Mursal Ka Hawala Day Ker

Chadaran Mangna Bad Karon Say


Aag Khaimon May Lagi Aur Thay Sajjad Bay Hosh

Ro Ro Abbas Ko Deti Thi Saddain Zainab

Loot Lo Chadarain Sedanion Ki

Shoor Bharpa Tha Sittamgaron Main


Kis Tarhan Bali Sakina Rahay Baba Kay Baghair

So Gai Chain Say Tanhai May Rotay Rotay

Hichkiyan Dab Gai Masooma Ki

Haye Zindanon Ki Deewaron Main


Jis Jaghan Majlis E Shabeer Ho Bharpa Akhter

Choor Ker Baqiya Ko Roti Hai Zahra Akay

Baal Kholay Sir Peetti Hai

Apnay Piyaron Kay Zadaron Main