Ho Gayi Dafn Zahra Ki Mayyat
Ghar Mein Har Simt Chhaya Andhera
Dekha Zainab Ne Sarwar Ki Janib
Ek Konay Mein Chup Hai Akela
Paas Aa Ke Ye Zainab Pukari
Kuch To Bolo Behen Se Ae Bhaiya
Bole Shabbir Zainab Se Ro Kar
Kya Bataun Tumhein Meri Behna
Main Gham Apne Unko Sunata Sabhi
Agar Aaj Maa Hoti
Kabhi Mujh Pe Aafat Na Aati Koi
Agar Aaj Maa Hoti
1
Pareshaniyan Mujh Pe Aatein Bhi Gar
Kabhi Aankh Meri Nahi Hoti Tar
Sukoon Ki Talab Jab Bhi Hoti Mujhe
To Aaghosh Mein Maa Ki Rakh Deta Sar
Basar Chain Se Hoti Ye Zindagi
Agar Aaj Maa Hoti
2
Jo Dil Pe Guzarti Sunata Unhein
Main Har Zakhm Apna Dikhata Unhein
Woh Apni Rida Mein Chhupati Mujhe
Main Ahwaal Apna Sunata Unhein
Woh Dam Mujh Pe Kar Deti Naad-e-Ali
Agar Aaj Maa Hoti
3
Woh Haathon Se Khana Khilati Mujhe
Woh Lori Suna Ke Sulati Mujhe
Main Ek Baar Kehta Joon Hi Al-Atash
Woh Pani Bhi Foran Pilati Mujhe
Lamhon Mein Hi Pyaas Bujhti Meri
Agar Aaj Maa Hoti
4
Unhein Saari Ummat Satati Rahi
Woh Chhup Chhup Ke Aansoo Bahati Rahi
Khabar Tak Humein Maa Ne Hone Na Di
Woh Zakhmon Ko Hum Se Chhupati Rahi
Main Zakhmon Pe Marham Lagata Abhi
Agar Aaj Maa Hoti
5
Kabhi Chain Se Ab Na Sounga Main
Ke Ab Jaane Kis Kis Ko Khounga Main
Hai Nazdeek Woh Din Ke Maidan Mein
Bhare Ghar Ko Tanha Hi Rounga Main
Kabhi Mujh Pe Aati Na Mushkil Ghari
Agar Aaj Maa Hoti
6
Kaha To Ke Zainab Ne Aao Hussain
Gale Se Behen Ko Lagao Hussain
Chhupao Na Zainab Se Ranj-o-Alam
Jo Ahwaal-e-Dil Hai Sunao Hussain
Mujhe Hai Yaqeen Maa Bhi Karti Yahi
Agar Aaj Maa Hoti
7
Pukari Jary Shah Se Woh Dil Hazeen
Tumhein Rota Main Dekh Sakti Nahi
Rahungi Sada Saath Maa Ki Tarah
Madina Ho Ya Karbala Ki Zameen
Qasam Tum Ko Meri Na Kehna Akhi
Agar Aaj Maa Hoti
Kalaam | Jary Raza