kahan jaaye aakhir bayaban har soo
shikasta hai pehlu akeli hai zehra
rone pe pehra masayab ka sehra
akeli hai zehra
dar e fatema ko jalaya hai tumne
kiya waada apna bhulaya hai tumne
tamache na maaro musalmano jao
ali ko bulao akeli hai zehra
rone pe pehra...
bayan kis se jaa kar karun dard apna
hai ghairon ki dunya nahi koi apna
koi jaake baba se jakaar ye kehdo
ke le jao aakar akeli hai zehra
rone pe pehra...
ay lakhte jigar ay hassan ibne hyder
ye nana ke pehlu me sone na de gar
tum aa jaana pehlu mein so jaana maa ke
baqi mein yahan par akeli hai zehra
rone pe pehra...
shahe karbala ne kaha roke maa se
ye mazloom bete ne mazloom maa se
akela hoo mai bhi akeli hai zainab
akele hai baba akeli hai zehra
rone pe pehra...
sare marg akhtar hai zahra ka nauha
kab aaoge mehdi kab aaoge beta
khuda ke liye ab ye parda hatao
chale aao aao akeli hai zehra
rone pe pehra...