roke zehra ye pukari al ajal ya mehdi
mujhpe darwaza gira tod di pasli meri
al ajal ya mehdi
inteqam aa ke tujhe lena hai mohsin ka mere
yaad karti hai abhi se tujhe teri dadi
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
zakhmi pehlu pe hi ek haath mera rehta tha
doosra haath utha kar mai dua karti thi
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
has rahe thay sabhi darbari meri ghurbat par
maine tehreer e nabi khaak se ye kehke chuni
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
mere pehlu ki tarha beta shikasta hai mazaar
dekho sau saal huwe qabr dubara na bani
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
ek kooche mein jo zaalim ne tamacha maara
haye mai rote huwe khaak pe ye kehke giri
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
baandh ke khaynchi jo zaalim ne galay mein rassi
dil mera kehta raha dekh ke tauheen e ali
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
mekh darwaze ki jis dam mere phasli pe lagi
mujhko mohsin ki sada rote huwe aati thi
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...
mir sajjad jo jalta hua darwaza gira
al madad fizza se pehle meri bibi boli
al ajal ya mehdi
roke zehra ye pukari...