ay sakina ke chacha ay mere bhai abbas
maar daalegi hamein teri judaai abbas
wo nahi hoti to mai aa bhi nahi sakta tha
tere laashe pe mujhe maa meri laayi abbas
ay sakina ke chacha...
tum yahan zeen se giray aur wahan qaime mein
sar se zainab ke rida gir gayi bhai abbas
ay sakina ke chacha...
kaise tanha mai sambhalunga ali akbar ko
laash hum ne hai har ek mil ke uthayi abbas
ay sakina ke chacha...
jis se sharminda ho tum uski qasam deta hoo
aankhein khole ke sakina nahi aayi abbas
ay sakina ke chacha...
ho gaye hai tere qasim se zyada tukde
laash uthaun mai teri kis tarha bhai abbas
ay sakina ke chacha...
mera armaan mere dil mein na reh jaye kahin
bhai shabbir ko ab bol do bhai abbas
ay sakina ke chacha...
mir sajjad ye kehte rahe akbar se hussain
meri bat'tees baras ki hai kameini abbas
ay sakina ke chacha...