Kanz e Aza

Ali Bahot Roye

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Zafar. Lyrics in Roman Urdu.

bada azeem tha sadma ali bohat roye

bana ke turbat e zehra ali bohat roye


na roye haath ke chaalo ko dekh kar maula

na roye ghar may raha teen roz tak faaqa

shikasta pehlu jo dekha ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


galay may baandhi gayi rassiyan to sabr kiya

dar e batool se ut'tha dhuwan to sabr kiya

bana ke turbat e zehra ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


shikasta pehlu jo dekha to sabr hona saka

kuch aisa zaqkhm tha gehra to sabr hona saka

utha ke zakhmi janaza ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


abhi to qabr e rasool e zaman bhi thi taaza

ali ke zaqmon ka kis tarha hoga andaaza

jo ghar may reh gaye tanha ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


pukara maa ko tadap kar hussain ne jis dam

rakha tha maa ne bhi us waqt maamta ka bharam

kafan ka bandh jo toota ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


shareeke gham ki lehad par bahaye thay aansu

ba waqte gusl bhi aankhon may aaye thay aansu

pakad ke apna kaleja ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


har ek musibat o ranj o alam may saath diya

nabi ke baad har ek ranj o gham may saath diya

na jaane soch ke kya kya ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


diya tha hausla kulsoom aur zainab ko

tasalli de ke wahan chup kara diya sab ko

hassan hussain ko dekha ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


sulaa ke zer e zameen binte musatafa ko ali

kiye wo bain ke saari zameen larazne lagi

hisaar e sabr jo toota ali bohat roye

bada azeem tha sadma...


zafar wo subbat alayya masayibun kehna

ye shadman ke lab par batool ka nauha

jo yaad aaya ye nauha ali bohat roye

bada azeem tha sadma...