ek shor ka aalam hai madine ki gali hai
yeh kis ka hai darwaza jahan aag lagi hai
bibi hai koi jis pe wo darwaza gira hai
bas chaaron taraf ek sada goonj rahi hai
al-madad baba al-madad baba
jalte darwaze ke neeche hai tumhari zahra
mai giri khaak pe darwaza gira hai mujh par
ghar mein daakhil hui ummat ye usi pe chal kar
phasliyan toot ke deti hi rahi tum ko sada
al-madad baba...
apni haalat mai ali se bhi nahi keh sakti
itni zakhmi hoon ke zinda bhi nahi reh sakti
har ghadi khoon mein tar rahti hai ab meri rida
al-madad baba...
kyun nahi aate bhala aap kahan hai baba
dekho chehre pe tamachon ke nishan hai baba
maine zainab se chupaya hai ye zakhmi chehra
al-madad baba...
mujhse darbar ne ek din mein jawani cheeni
ghar talak bhi hoon mai beton ke sahare aayi
haal athara baras mein hai zaeefa jaisa
al-madad baba...
keel paywast jo pehlu mein hui hai mere
is liye baba mere haath nahi uth sakte
kuch nahi maangna bas maut ki karni hai dua
al-madad baba...
kam qayamat se nahi hai ye ajab din baba
mujh mein hi dafn hua hai mera mohsin baba
saare zakhmon se hai mere yehi ek zakhm bada
al-madad baba...
ab bhi azlaan baqayya se sada aati hai
phasliyan tooti thi kal aj lehad tooti hai
jaane kis baat ki di ahle madina ne saza
al-madad baba...