matam karo hussain alaihis salam ka
ek din mein ghar ujad gaya logon imam ka
sookha hua tha syed e mazloom ka gala
pani nahi mila
gardan pe sheh ke shimr ne khanjar chala diya
roti thi sayyeda
kya haal kar diya gaya aali maqaam ka
matam karo hussain...
ek din mein dil pe zakhm bahattar ke khaye hai
khoon mein nahaye hai
hurr john aur habeeb ke laashe uthaye hai
aansu bahaye hai
qaimon talak janaza jo laaya ghulam ka
matam karo hussain...
seene se apne bete ke naiza juda kiya
haye wa musibata
zehra ka laal dasht mein be noor ho gaya
haye wa musibata
us be watan ka haye shah e tishnakaam ka
matam karo hussain...
zainab ke dil pe kaisi qayamat guzar gayi
dunya ujad gayi
maqtal mein sheh ki laash ki be-hurmati hui
wo dekhti rahi
pamaal laasha ho gaya shaah e anaam ka
matam karo hussain...
maula ke khandaan pe badti gayi jafa
cheeni gayi rida
chalta tha garm rayt pe kaanton pe khaafla
bazaar aa gaya
naize pe dekhta raha manzar jo shaam ka
matam karo hussain...
pyason ko yaad karke sabeelein lagao tum
pani pilao tum
kaala libaas pehno alam bhi sajao tum
yun gham manao tum
farshe aza bichao shaheedon ke naam ka
matam karo hussain...
ek pal na bhool payenge ghurbat hussain ki
jab tak hai zindagi
yun hi karenge mesum o azlan azmi
maula ki naukri
zehra se ajr humko milega kalam ka
matam karo hussain...