Kanz e Aza

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi

A noha written by Jary Raza. Lyrics in Roman Urdu.

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Ye Ghaibat Mein Mera Maula Sada Deta Hai Ro Ro Kar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi

Mere Baba Ki Gardan Thi, Laeen Ka Kund Tha Khanjar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Wo Jis Chhe Maah Ke Bachche Ne Ran Mein Teer Khaya Tha

Pas-E-Khaima Jise Shabbir Ne Ja Kar Chhupaya Tha

Laeen Ne Dasht Mein Dhoonda Tha Kaise Laasha-E-Asghar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Zamana Jis Ko Kehta Tha Shabeeh-E-Ahmad-E-Mursal

Ussi Mazloom Par Dhaya Gaya Mahshar Sar-E-Maqtal

Sitamgar Ne Kiya Naize Se Chhalni Seena-E-Akbar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Samaan-E-Ashoor Ka Dadi Meri Nazron Mein Rehta Hai

Ussi Gham Mein Meri Aankhon Se Ab Bhi Khoon Behta Hai

Haram Ke Jal Gaye Khaime, Phuphi Ki Chhin Gayi Chadar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Tamaanche Maarta Tha Jab Laeen Bachi Ke Gaalon Par

Bulati Thi Wo Amu Jaan Ko Dariya Se Ro Ro Kar

Sada Ye Sun Ke Dariya Par Tadapta Tha Chacha Ka Sar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Sar-E-Aun O Muhammad Jab Nazar Aaye The Naize Par

Zara Royi Na Madar Apne Bachchon Ke Bichharne Par

Ali Akbar Ko Roti Thi Musalsal Zainab-E-Muztar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Sitam Ye Bhi Hua Maqtal Mein Jo Ek Shab Ka Dulha Tha

Ussi Ki Laash Ko Maidan Mein Ronda Tha, Wawayla

Simat Ke Kis Tarah Ghatri Mein Aaya Qasim-E-Shabbar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Meri Nazron Mein Ab Tak Phirta Hai Bazaar Ka Manzar

Nabi Ki Aal Thi Ummat Ke Haathon Zulm Ki Zad Par

Kahin Maare Gaye Durre, Kahin Maare Gaye Patthar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Mere Baba Ka Kis Ne Kund Khanjar Se Gala Kaata

Pada Tha Dasht Mein Jis Waqt Be-Gor O Kafan Laasha

Wahan Kis Kis Ne Mitti Aan Ke Daali Thi Zakhmon Par

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi


Jary Kehne Lage Mehdi Ke Main Jab Izn Paaunga

Hussain Ibn-E-Ali Ke Qaatilon Par Qahr Dhaaunga

Koi Qaatil Meri Talwar Se Jaayega Na Bach Kar

Mujhe Sab Yaad Hai Dadi