bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe ghar mein mere farshe aza
hussain raazi rahe bas hussain raazi rahe
zamana roothe ya phir choote koi bhi rishta
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
ye majlisein ye azakhane aur ye farshe aza
sabeelein aur tabaruk ko baatne ka maza
hussain ke hi liye sab hai aur ye mansha
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
gaye wo ran ki taraf jab hussain ne chaaha
sipaahi haq ki samajhte thay falsafa rab ka
wohi wo karte rahe jo hussain kehta raha
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
ye apne bachon ko maa'on ne tarbiyat di hai
ghame hussain manao ye pursa daari hai
jiyo hussain ke gham mein ye baap ne bhi kaha
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
subhana rabial aala rasool padhte rahe
ke unki pusht pe jab tak hussain baithe rahe
bina hussain kaamil nahi koi sajda
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
hussain dil hai hussain jaan hai
dilon ki dhadkan mein bhi rawan hai
tapish mein gham ki ye sayeban hai
hussain tauheed ki zaban hai
khuda ka kalma jahan jahan hai
hussain mera wahan wahan hai
hamesha bichta rahe...
padho ziyarat e maula khuda ko raazi karo
suno hussain suno gar padho hussain padho
aza ke farsh pe baitho khuda se mango dua
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
kahin pe bhai ke baazu kahin behan ke pisar
khuda ki raah mein di hai jawani e akbar
jis imtehan mein laati rahi khuda ki raza
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
yehi najaat ka zariya banega mehshar mein
sar apna faqr se uncha rahega mehshar mein
ab is khaiyaal se badkar bhi aur kya hoga
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
hussain tu jo nahi hai to ghar nahi kuch bhi
kate jo ishq mein tere to sar nahi kuch bhi
habeeb ibne mazahir ki dosti ne kaha
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...
kiya hussain ne aamir tujhe safeer e aza
ata se unki mai shayar e ahlebait hua
khuda se paa'un shanawar ye khidmaton ka sila
bus hussain raazi rahe hussain raazi rahe
hamesha bichta rahe...