hussain saari ye kainaat tere dam se hai
ye dil abaad hashr tak bhi tere gham se hai
kaha tha kis ne ye maula teri sharafat pe
ke hum hussain se hai aur hussain hum se hai
hussain saari ye...
kata ke tu ne jo sar deen ko kiya zinda
har ek aankh ashk baar tere gham se hai
hussain saari ye...
ufaq pe aaj jo surkhi hai khoone na-haq ki
zameen udaas abhi tak bhi tere gham se hai
hussain saari ye...
namaz e ishq ada ki jo tu ne teeron mein
namaz aaj bhi qaayam tere alam se hai
hussain saari ye...
tere namoos jo darbar mein thay beparda
hairaan aalam e islam is sharam se hai
hussain saari ye...
karenge seena zani jab talak hai ye dunya
hamara deen emaan aap ke hi gham se hai
hussain saari ye...
diya tha parcham e islam par jo khoon tera
mashaf fizaon mein ab tak tere karam se hai
hussain saari ye...
jaga bhi denge ye soye huwe naseebon ko
dar e batool pe sardar aankh nam se hai
hussain saari ye...