Kanz e Aza

ABBAS BEHN AAY! HAI DARBAR ME JAKAR

A noha for Darbaar e Shaam, written by Manzar Aelia and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Kis shaan se nikli thi Madine se sawaari

Phir aise lutte ham ke na mehmil naa amaari

Bhayya Main tadap kar Tumhe har baar pukaari

Imdad ko Dukhiya ki na Tum aaye Baradar


Abbas suno shaam e gharibaan ki bhi roodaad

Jee bhar ke nahi kar sake hamLaashon pa faryad

Khaime bhi jale ghar bhi luta hogaye barbaad

Thi'n zere sama Bibiya'n be maqna-o chaadar


Har gaam pa mehshar tha har ek lamha qayamat

Zaalim hame har tarha ki dete the azeeyat

Chalne ki na taqat thi na dam lene ki fursat

Hadd ye hai tamashaai bhi barsaate the patthar


Darbaar me zaalim ke qayamat ka tha manzar

Thi zoujaye hakim pas-e parda Main Khule sar

Sar sharm se Zainab ka na uthta tha baradar

Le le ke Mera naam rulaate the sitamgar


Chhaya huwa nazron me hai zinda'n ka andhera

Yaad aata hai reh reh ke wo bachchi ka tadapna

Thi dil me Sakina ke rihaai ki tamanna

Mar kar bhi Rahi qaid me Shabbir ki Dukhtar


Har gaam pa durre jo lagaate the sitamgaar

Kis yaas se karte the nazar Abid-e Bimaar

Sun paaoge kya aur masaa'eb MereGhamkhwaar

Main Aayi hu'n durro'n ke nasha'n pusht pa Lekar


Manzaar ye baya'n karti thi jab Knwahar-e Hussain

Ghaazi ki Sada aayi na Shehzaadi karo bain

Hoti hai aziyat Mujhe hu'n qabr me bechain

Dil phat'ta hai Khadim ka fugha'n Aap ki sunkar