Kanz e Aza

ABID KI NIGAHO'N ME HAR KARB KA MANZAR HAI

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Hasan Abbas Ahsan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Yalghaar hai ghodo'n ki aur Qasim-e bepar hai

Tooti huwi barchhi hai aur Seena-e Akbar hai

Hulqoome Ali Asghar aur teer-e sitamgar hai

Naize ki bulandi hai aur Phool sa ek Sar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Hai aalame tanhaai aur zulm ka lashkar hai

Nargha hai laeeno ka aur Jaane Payambar hai

Tegho'n se Badan zaqmi aur teero'n ka bistar hai

Shabbir ki Gardan hai aur shimr ka khanjar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Uthti huwi talware'n chalte huwe naize hain

Sab zakhme Badan goya mashko'n ke dahaane hain

Har simt se hamle hain Abbas Akele hain

Pyaase ka Sare Zakhmi aur gurze sitamgar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Karbal ke biyaba'n me aasaar hain mehshar ke

Bikhre huwe maida'n me Laashe hain Bahattar ke

Zainab ki Nigaho'n me sab Zakhm hain Sarwar ke

Jalti huwi reti hai aur Laasha-e Besar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Khamosh biyaba'n hain aur Shaame Ghariba'n hai

Har aankh me ashko'n ka thehra huwa toofa'n hai

Bewo'n ka Yatimo'n ka ab koun nigehbaa'n hai

Jalte huwe khaime hain chhinti huwi chaadar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Bazar me Sar nange Ahmed ka Gharana hai

Jakda huwa rassi me har Bibi ka Shana hai

Is haal me Zainab ko darbar bhi jana hai

Har simt tamashaai Zainab ka Khula Sar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Hain Pushte Sakina par durro'n ke nasha'n saare

Kano'n se luhu jaari Rukhsar bhi hain soojhe

Zakhmo'n me jalan jaise bharde koi angaare

Har lamha tamaanche hain har gaam pa mehshar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Darbar me Qaidi hai Aulad Payambar ki

Sar tasht me Sarwar ka kaisi ye adaawat thi

Honto'n pa Shahe Dee'n ke zalim ne chhadi rakhi

Zainab ki Nazar har dam Bhai ke Labon par hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai


Wo Sajda-e Shukrana hangaame Qayamat me

Chalta raha kaanto'n par Jo dhoop ki shiddat me

Rote hain sada Ahsanham jiski muhabbat me

Uske liye nazrana ashko'n ka samandar hai


Abid ki nigaho'n me har karb ka manzar hai