Kanz e Aza

AYE SHASHMAAHE PYAASE ASGHAR

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Hasan Abbas Ahsan and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Aye Qalbe Pidar Jaane Maadar

Aye tashna daha'n Aye tashna jigar

Baba ki Mashiyat par thi Nazar

Jab teer laga tha Gardan par

Rann Jeet liya Tu ne Has kar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Aye Faatehe Khaibar ke Dilbar

Ek zarbe tabassum ke bal par

Aada ka ulat'ta Tu lashkar

Shabbir ki Marzi hoti agar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Tu Ibne Ali ka hai Beta

Abbase Ali hai Tera Chacha

Hai Tujhme Shuja'at ka Dariya

Aur Shere Khuda ke Hain Tewar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Shabbir ke Maqsad ke Qur'an

Gehwaare me Bachcha kehla jaha'n

Aidaan me lekin Tu hai Jawaa'n

Kab khaof hai Tere Chehre par


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Auro'n se Juda hai Shaan Teri

Ek teer ne leli Jaan Teri

Talwar bani Muskaan Teri

Yu'n fatt'ha Kiya Toone lashkar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Uss teer ka khana khel nahi'n

Aur phir Muskana khel nahi'n

Dushman ko rulana khel nahi'n

Hai Teri Shuja'at Tera Jigar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Shabbir ke Dilbar Maahjabee'n

Abbas ka Tu Shaagird nahi'n

Hai Jeet ka phir bhi Tujhko yagee'n

Tha Zarbe Tabassum ka jo hunar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Ye rasm nahi'n hai Maatam hai

Waajib hai jo ham par wo Gham hai

Ham jaan bhi dede'n to kam hai

Ehsaan kiya Tune ham par


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Jab Hasta hai Masoom koi

Besaakhta yaad aati hai Teri

Raas aayi na Tujhko Teri Hasi

Ye lag gayi aakhir Kiski nazar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Ye zulm kahi'n dekha na suna

Sookhi wo Zubaa'n aur Khushk Gala

Ek boond Tujhe paani na mila

Tu Qatl Huwa Pyaasa Rehkar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Jab teer Teri Gardan pa Laga

Aadam ne kaleja Thaam liya

Ayyub ne Apna Muh Phera

Ulta jo Pidar ke Haatho'n par


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Maa Baap na aise ham dekhe

Hai kaun jo aisa Gham dekhe

Besheer ka ye Aalam dekhe

Ye Sheh ka hai Dil Bano ka Jigar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Saamaane Aza me hai Jhoola

Jhoole me Alam ek Chhota sa

Aur uspe bandha hai ek Sehra


Kya khoon rulata hai manzar

Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Gehwaare se wo gir jaana Tera

Maidaan me Sajkar Aana Tera

Wo Joshe Wegha Dikhlana Tera


Kya khoon rulata hai manzar

Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Wo teen dino ki Pyaas Teri

Wo dhoopki shiddat wo garmi

Wo teer ka lagna aur wo hasi

Hairaan hain ab tak jinnobashar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Aye Faatehe Dashte Karbobala

Tiflee'n me ye Tera Joshe Wegha

Tu Hota Jawaa'n to kya hota

Ham sonchte hain ye reh rehkar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Ehsas ki duniya Rothi hai

Ek Maadar e Dukhiya Rothi hai

Haa'n Fatima Zehra Rothi Hai

Kehti Hai faqat ye Ro Rokar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Mango ye DuaMaatam daaro

Ta hashr Kisi dukhiya Maa ko

Aulaad ka Gham is tarha na ho

Bano ne jo Dekhe hain manzar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Jis Halq pa teere zulm laga

Us Halg pa Khanjar bhi to chala

Tharraane Laga Tha Arshe Khuda

Naize pa Tera wo Phool Sa Sar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Kya kya na huwe the ranjo mehan

Gardan me Sakina ke thi rasan

Ro Ro ke magar Wo Teri Bahan

Kehti Thi Faqat Asghar Asghar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Aankho'n me Tere Laashe ko liye

Maa Teri Jiye to kaise Jiye

Paani Wo Piye to kaise Piye

Hardamm hai ye Naoha Honto'n par


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Wo Ghurbate Sarwar Waawaila

Godi me Liye Tera Laasha

Shabbir ne hamko Yaad Kiya

Ham sadqe Aisi Ghurbat par


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Shabbir ke jo parwaane hain

Wo Teri Azmath jaane hain

Aur Haq ko Tere pehchaane hain

Gham Tera manaate hain ghar ghar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Khaliq Ne jo Bakhsha Tera Gham

Ye Uska bada hai hampa Karam

Ab Tujh se ye wada karte hain ham

Mar jaaengeTujh par ro ro kar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Aye Shehre atash ke Shahzade

Tu Apni Ziyarat Karwaade

Karbal me hame ab pohncha de

Rolenge Wahaa'n ham jee bhar kar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar


Ho'n Tujh pa Mere Maa Baap fida

Shahzade ye Ahsan ki hai Dua

Madfan ho Mera bas Karbo bala

Waa'n Naoha Sunaau'n roro kar


Aye Shashmaahe Pyaase Asghar