Karbala Ke Bhare Ghar Ko Challis Baras Roya
Ye Uski Musibat Ka Matam Hai Azadaro
Shabbir Ke Laashe Ko Be Goro Kafan Dekha
Tooti Huwi Hasarat Ka Matam Hai Azadaro
Be Makhna-o-chadar Thi Maa Behane Rasan Basta
Mazloom Ki Ghurbat La Matam Hai Azadaro
Touqo Aur Salasil Me Jakda Tha Baadan Jiska
Durroun Ki Aziyat Ka Matam Hai Azadaro
Behta Tha Lahoo Paiham Mazlum Ki Gardan Se
Zanzeer Ki Zarbat Ka Matam Hai Azadaro
Har Zulm Sahe Jisne Aur Haq Ki Ibadat Ki
Khamosh Musibat Ka Matam Hai Azadaro
Nanhi Si Behen Jiski Dunya Se Gayi Pyasi
Us Pyas Ki Shiddat Ka Matam Hai Azadaro
Khud Dafan Kiya Jisne Mayat Ko Sakina Ki
Zinda Ki Musibat Ka Matam Hai Azadaro
Tha Zehra Sitam Jiska Mazloom Ke Hisse Mein
Ab Uski Shahadat Ka Matam Hai Azadaro
Pursa Hame Dene Hai Baqar Ki Yatimi Ka
Ab Unki Musibat Ka Matam Hai Azadaro
Har Lafz Ki Aankhoun Se Bahtein Hain Rasheed Aanso
Tanha Ki Gurbat Ka Matam Hai Azadaro