aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar
laila ke lab pe har dam rehta tha ek naala
wo tha to us ke dam se ghar mein tha ek ujaala
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar...
at jayenge wo gaysoo sab khaak mein lahoo mein
ye din bhi dekhna thay sehre ki aarzoo mein
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar...
phir eid aayi sabne pehne naye libaday
aaye nahi palat kar ummat ke shaahzade
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar...
khursheed sa wo chehra rangat mein tha sunehra
palkon ki chilmano par tha abru'on ka pehra
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar...
sunte hai uska chehra sab khoon mein bhar gaya tha
kehte hai uske dil mein naiza utar gaya tha
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar...
zainab se hoke ruqsat jab ran ko wo chala tha
har koi badke uske maathe ko choomta tha
aankhein taras gayi hai akbar ke dekhne ko
ali akbar ali akbar...