aaram kahan hai aaram kahan hai
zainab o kulsoom ko aaram kahan hai
aale zehra ka hai nauha qatl hyder hogaye
khoon se tar hai musalla qatl hyder hogaye
sajda e khaaliq mein jab maula ne peshani rakhi
aur ali ke sar pe jis dam taygh zaalim ki chali
ro diya ye kheke sajda qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
masjid e kufa ke dar pe aagaye hai sab yateem
keh rahe hai hum haqeeqat mein huwe hai ab yateem
hogaye hum be-sahara qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
dek kar masjid mein surat khoon mein doobi baap ki
seena e sarwar se lag ke ro diye abbas bhi
bhai se bhai ne bola qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
ghar ki jaanib baap ko hasnain jab le kar badhe
peeche peeche chaahne waale bhi sab rote chale
tha har ek ke lab pe nauha qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
zainab o kulsoom ke dil pe churi chal jayegi
kaan mein awaaz unke jis ghadi ye aayegi
ek farishta jab kahega qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
raaste mein ruk ke ye kehne laga maula mera
dekhti hai betiyan darwaze pe rasta mera
ab nahi kehna khudara qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
baap ke laashe pe ye shabbir ne ro kar kaha
jab gaye nana o amma aap ne pursa diya
kaun dega ab dilaasa qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...
ay ali yazdan thi kufe mein yateemi nauhagar
ro diye hasnain tashna us ghadi sar peet kar
marsiya abbas ka tha qatl hyder hogaye
aale zehra ka hai nauha...