aaj dunya me mohammad mustafa paida hua
qaasa e rabbe do aalam muqteda paida hua
jis ki qatir ye zameeno aasma'n paida hua
maalike kouno makaa'n arzo samaa'n paida hua
farsh se islaam phaila baaniye islaam se
deene haq kaamil hua noore quda paida hua
qush hai abdullah aur makke me sab hai shaadmaa'n
aamena ka raahate jaa'n dilruba paida hua
haan utho aye momino tazeem ko padh kar durood
kashtiye ummat ki qaatir na quda paida hua