Aye Momino Yasrab Me Ajab Nauha Gari Hai
Zehra Ke Liye Daaghe Ghame Be Pidari Hai
Lab Khushk Hai Muh Zard Hai Aankhou Me Tari Hai
Paighambare Kounain Chiraghe Sahari Hai
Hote Hai Juda Khaire Bashar Khairunnisa Se
Mahboobe Khuda Choot-Te Hai Sher-E-Khuda Se
Jiska Kalma Padhte Hai Sab Momine Dee'ndaar
Ab Aazime Firdous Hai Wo Qaasaye Ghaffar
Makke Me Madine Me Tabahi Ke Hai Aasaar
Ab Hote Hai Ummat Se Juda Ahmed-E-Muqtar
Faaqe Kiye Ghamgee'n Rahe Dunya Ke Safar Me
Aaqar Safar-E-Marg Kiya Maah-E-Safar Me
Ek Kaafera Ne Gosht Me Tha Zaher Khilaya
Us Zaher Ne Aaqar Ye Asar Apna Dikhaya
Moula Ko Sare Bistare Aazaar Giraya
Hisse Me Hassan Ke Wahi Zaher-E Sitam Aaya
Kamzor Kiya Tap Ne Rasoole Arabi Ko
Taaqat Na Rahi Baithne Uthne Ki Nabi Ko
Hai Aaqri is Waqt Mera Waaz-O-Nasihat
Ab Mimbar-O-Mehraab Se Hota Hu Mai Ruqsat
Aana Tha Minallah Ilallah Hai Rahlath
Ab Hogi Mulaqat Meri Roz-E-Qayamat
Tum Gham Me Mere Nala-O-Faryaad Karoge
Is-Saal Mujhe Hajj Me Bahot Yaad Karoge
Do Cheezen Mai Cho-De Huwe Jaata Hu Magar Haa
Wo Ek To Meri Aal Hai Aur ek Hai Quraa'n
Quraan Ki Hafiz Meri Itrath Hai Nigahbaan
Ye Dono Buzurgi Wo Fazilath Me Hai eksaan
Quraan To Tum Sab Ki Tilawat Kay Liye Hai Aur Aal-Payambar Ki Hidayat Ke Liye Hai
Gar Baad Mere Pahonchega Zehra Ko Kuch Aazaar
Marqad Se Meri Pusht Nahi Lagne Ki Zinhaar
Ye Chaar Buzurg Aale Payambar Hai Qabardar
Zehra-O- Hussain-O Hassan-O Hyder-E- Karrar
Wajib Mere As-Haab Pa Insab Ki Wila Hai
Yaro Yahi Tableeghe Risalat Ka Sila Hai
Faaregh Jo Huwa Waaz Se Wo Aashiq-E-Daawar Phir Ghar Me Gaye Aur Gire Farshe Ajal Par
Us Roz Se Tashreef Na Phir Le Gaye Baahar
Bas Qabr Me Jaane Ko Uthe Va Se Payambar
Hairan-O Parishan-O Dil Afsurda Thi Zehra
Baba Abhi Jeeta Tha Magar Murda Thi Zehra
Par Ahmed-E Muqtar The Jab Hosh Me Aate
Zehra Ko Basad Yaas Kaleje Se Lagate
Geh Pyar Se Ye Dono Nawasou Ko Sunate
Mai Accha Hu Tum Kisliye Khana Nahi Khate
Wo Kehte The Kya Qaak Tamanna e Ghiza Ho
Allah Kare Jald Kahi Tum Ko Shifa Ho
Sheh Kehte The Sehat Ho Na Ho Khana To Khalo
Nana Ke Nawaso Dile Muztar Ko Sambhalo
Chillati Thi Zehra Ke Na Ye Zikr Nikalo
Baba Mere Farzandou Ko Dulha To Banalo
Arman Tha Tum Ko To Nawasou Ki Dulhan Ka
Kya Byaah Na Dekhoge Hussain Aur Hassan Ka
Ek Aah Ki, Rone Lage Aur Ghash Huwe Moula
Darwaze Se Nagaah Sada Ye Huwi Paida
Do Izn Huzoor Aye-Harame Syede Wala
Jakar Kaha Zehra Ne Ke, Behosh Hai Baba Phir Aayi Nida Phir Wahi Farmagayi Zehra Par Teesri Awaaz Me Tharragayi Zehra
Fursat Jo Huwi Ghash Se To Hazrat Ne Bhi Pucha
Zehra Ne Kaha ek Arab Aya Hai Tanha
Wo Maangta Hai Izn Huzoor Aye Mere Baba
Kitna Hi Kiya Uzr Nahi Usko Pazeera
Hazrat Ne Kaha Ye Malakul Mout Hai Zehra
Hangam Meri Zeest Ka Ab Fouth Hai Zehra
Ye Izn Kisi Se Bhi Nahi Mangta Wallah Par Haa Mere Darwaze Ke Rutbe Se Hai Aagah
Allah Re Azz-O-Sharafe Syede Zijaah
Be Hukm Na Ghar Me Malakul Mout Ko Thi Raah Par Karbobala Me Yahi Ghar Tha Yahi Dar Tha
Kuffaar Ka Amboh Tha Aatish Ka Guzar Tha...