aye sogwaaro aah-o buka ka muqaam hai
ab ruqsat-e hussain alaihis salaam hai
mehmaa'n tumhaara jaata hai jo tashna kaam hai
sar peeto qaak udaao ke maatam tamaam hai
ab wo sadaa-e haye hussaina na aayegi
ghar me tumhaare fatima zehra na aayegi
aye shaah-e karbala teri qidmat na ho saki
aye kushta-e jafaa teri qidmat na ho saki
aye jaane fatima teri qidmat na ho saki
mehmaan-e- nainawa teri qidmat na ho saki
jee bhar ke ro sake na ye gardish naseeb ki
majlis ye aaqri hai hussain-e ghareeb ki
agle baras hussain muharram me aayenge
baaqi rahi hayaat to ye gham manaayenge aur fatima ke laal par aansu bahaayenge
gar margaye to qabr me ham qaak udaayenge
tayyaar qaafela hai shah-e mashraqain ka
lo karbala ko jaata hai kunba hussain ka
abbas-e baawafa ali akbar na jaaiye
jhule ko qaali chord ke asghar na jaaiye
lekar baraat qaasim-e bepar na jaaiye
veera'n makaan hota hai sarwar na jaaiye
aayi sadaa na ro azaadar aayenge phir agle saal apne bhare ghar ko laayenge
bin byaahe noujawaa'n ali akbar bhi aayenge
mashk o alam ke saath baradar bhi aayenge
baano ki godh me ali asghar bhi aayenge
noushaah banke qaasim-e bepar bhi aayenge
zainab ka haath thaame sakina bhi aayegi
ek shab ki byaahi fatima kubra bhi aayegi
zainab ke laal baandhke hathyaar aayenge
sughra mareez aabid-e beemaar aayenge
shabbar ke saath hyder-e karrar aayenge
zehra ko thaame ahmed-e muqtaar aayenge
dil kyu na beqaraar ho bint-e rasool ka
majrooh aaj tak bhi hai pehlu batool ka
be chain fatima hai na aansu bahaao tum
mai jaa raha hu roke na mujh ko rulaao tum
zehmat na ho to meri ziyaarat ko aao tum
turbat pe aake ashko'n ki chaadar chadhaao tum
mehmaa'n jo karbala me mere paas aayenge
un sab ki peshwaai ko abbas aayenge
lo alvidaa hota hai ruqsat ye tashna kaam
tum rorahe ho maah-e moharram se subh-o shaam
kousar pe apne haath se dunga mai bhar ke jaam
ruqsat hussain hota hai tum par mera salaam
dono jahaa'n me qush raho aur shaad tum raho
amma duaa'e deti hai aabaad tum raho
haa aashiqo hussain ke aah-o bukaa karo
zehra ka saath do madad-e mustafa karo
haqq-e mohabbat-e shah-e bekas adaa karo
ab kooch hai hussain ka mehshar bapaa karo
lo ab vidaa kijiyo aal-e rasool ko
do aaqri hussain ka pursa batool ko
aye tashna kaam-o bekas-o nakaam alwedaa
aye mubtelaa-e hasrat-o aalaam alwedaa
aye bekafan ali ke gul andaam alwedaa
mazbooh tegh-e shimr bad anjaam alwedaa
muzlumiyat pe aapki jaa'n apni khoyenge
jab tak hai zinda aapke maatam me royenge
aye shah-e karbalaa-e mo'alla salaam lo
ham bekaso'n ke waali-o moula salaam lo
aqaa salaam lo shah-e waala salaam lo
aye fatima ke chaand hamaara salaam lo
ruqsat ye aaqri hai dilafgaar aaye hai
moula salaam lo ye azaadaar aaye hai