baanu ki aaj kis liye sunsaan god hai
bacchi ko kya huva are veeraan god hai
maa sar jhukaye baithi hai veeraan god hai
baali sakina margayi sunsaan god hai
naazo se jo pali thi shahe mashraqain ki
mitti me aaj milti hai bacchhi hussain ki
bano ke bain hai meri godi ujad gayi
baaqi thi sheh ki ek nishaani kidhar gayi
ya rab mai kya karoo'n meri bacchi bichad gayi
amma ko roti chord ke beti kidhar gayi
aawaaz ek baar to maa ko sunaao tum
bano jiye to kaise jiye ye bataao tum
hai hai jawaan bete ka sehra na dekhi mai
asghar ko haaye ghutniyo chalta na dekhi mai
armaan koyi apna nikaltaa na dekhi mai
tere bhi koi kaaj-ko hota na dekhi mai
waaris ka saaya uth gaya beto ko khoyi hoo'n
baaqi jo ek bacchi thi aaj us pa royi hoo'n
thi aarzoo ke tumko mai parwaa'n chadhaoongi
dulhan banaake dhoom se shaadi rachaoongi
dil ke tamaam apne mai armaa'n nikaloongi
yeh kya qabar thi qaak me tujhko milaoongi
mai badnaseeb reh gayi rone ke waaste
tum jaa rahi ho qabr me sone ke waaste
sajjad bole sabr karo tum pa mai fida
maiyyat uthaane jhuk gaya beemar be dawaa
mooh rakh ke mooh pa bola bahen tere mai fidaa
tujhko milaane qaak me sajjad rehgaya
tharraaye haath aur musibat bapaa huvi
mayyat ka uthna tha ke qayamat bapaa huvi
mayyat nikal rahi hai andhera makaan hai
laaye charaagh kaun paraaya makaan hai
kurta kafan hai phool hai naa sayebaan hai
ghurbat ki mout hai ye yateemi ki shaan hai
mayyat bahen ki bhaai ke haathou pa aati hai
hai hai sakina qabr me sone ko jaati hai
maa sar ko peet kar yehi kehti hai baar baar
aahista leke jaai-yo beta tere nisaar
jaakar na phir ye aayegi baba ki sogwaar
jee bharke dekh lene do phir mujhko ek baar
logo bataao kaise mai kafnaane doo'n ise
maa hoo'n mai kaise gaadne le jaane doo'n ise
bhaai ke haath zouf se jab thar tharaate hai
nanhi si laash seene se liptaaye jaate hai
zanjeer jab ulajhti hai ghabraaye jaate hai
soorat bahen ki dekhte hai rote jaate hai
sadme bahut uthaayi hai beti hussain ki
gardan bhi hai chili huvi is noor-e ain ki
pehle pahal uthaaya hai mayyat khuda gawaah
zanjeero touq se hui haalat meri tabaah
marqad ki teeragi hai ke allah ki panah
rakhu mai kis tarah se sakina ko aah aah
ya rab nahi hai taab dile dard naak me kyu'n kar chupaau nanhi si bachi ko qaak me
abid ne dil ko thaam ke marqad bana liya aur thartharaate hatho se mayyat utha liya
aaya jo pyar godi me phir apni le liya
mu chooma dekha yaas se aur haaye ro diya
lipta ke nanhi laash ko aansu bahaate hai
is bekasi ko dekh ke darbaa'n bhi rote hai
aaqir litaaya qabr me mayyat bahaale zaar
shaana hila ke kehne lage roke baar baar
taareeki e mazaar se darna na ghamgusaar
godi samajh ke soiyo maa ho tere nisaar
ye kehke mitthi daalte the mu ko pher kar aur fateha bhi padhke uthe thaam kar jigar
sar ko jhukaaye baith gaya sheh ka mailaqa
bano tadap ke kehne lagi tujh pa mai fida
beta bataao meri sakina ko kya hua
bachi kidhar gayi meri dhoondu'n kahaa'n mai aah
gir kar zamee'n pe kehti hai faryaad ya hussain
bano ghareeb hogayi barbaad ya hussain
zindaan soona soona hai kaisi ye raat hai
tanha hui hai pehle pahal badhti raat hai
chilla rahi hu kabse na ghat'ti ye raat hai
bachi ko haaye qabr me pehli ye raat hai
bacho ko paala haaye lahad me sulaane ko aur maa bechaari reh gayi aansu bahaane ko