zindaa'n me muqayyad huwe jis dam haram-e shaah
amboh-e qalaaeq huwa darwaaze pa naagaah
balwa huwa is darja ke masdood huwi raah
sar sharm se zanjeer pa aabid ne rakha aah
tha wo araq-e sharm assero'n ke na tan me
rota tha har ek arz o gham-e shah-e zaman me
mash'ghool jo the khel me atfaal wo saare
karti thi sakina wahaa'n hasrat se nazaare
kehti thi ke kya hogaye hamjoli hamaare
baba ali asghar ko kahaa'n leke sidhaare
sab bachhe yahaa khelte hai khanda zanaa'n hai
mai khelti thi jinse wo atfaal kahaa'n hai
nagaah namudaar huwi shaam-e gharibaa'n
aaya ghazab aaloodah wahaa'n shimr-e bad eemaa'n
ek ek se muqaatib huwa wo dushman-e yazdaa'n
ab jaao ke hota hai muqafil dar-e zindaa'n
hoyegi rehaayi na kabhi aal-e abaa ki
kal dekhiyo phir sair aseeraan-e balaa ki
ye sunke parishaa'n huwa anboh wo saara
gum hogaya ek shaqs ka farzand qazaara
chillaya pidar uska raha dil pa na yaara
farzand bhi baba use keh keh ke pukaara
wo tifl lipatne jo laga aake pidar se
paida huwi ek aah sakina ke jigar se
bhar bhar ke dam-e sard ye ki bano se guftaar
is bachhe ko dekho ke kya qush hai ye dildaar
kya naam-e pidar pyaar se leta hai har baar
ek ham hai ke hai baap ki furqat me giraftaar
dil me jo mere dard hai qaaleq pa ayaa'n hai
mai kisko kahu'n baap mera baap kahaa'n hai
baba mere hote to unhe kehti mai baba
ab baap kahaa'n jisko kahoo'n baap mai dukhya
yu koi pidar beti se ghaafil nahi hota
hairaan hoo'n baba ke wo ashfaaq huwe kya
aada ne hame qaid kiya shaam me laakar
baba mere kyu'n mujh ko nahi dhondhte aakar
ye kehke sakina pa jo riqqat huwi taari
bas haaye pidar kehke kayi baar pukaari
tadpi jo zamee'n par to zamee'n hilgayi saari
jhunjlaake kaha shimr ne phir karti ho zaari
ab khoob rulaaunga tujhe mai na daroonga
reh tujh ko aseero'n se judaa qaid karoonga
phir shimr ne baazu e sakina ko jo pakdaa
kunbe ki taraf usne ajab yaas se dekha
sab qaidyo'n me ek qayaamat huwi barpaa
sajjad ke qadmo'n pa machal kar giri dukhiya
yu lipti thi bhaai se wo is qouf-o qatar me
ek haath to gardan me tha ek haath kamar me
muh dekh ke sajjad ka kehti thi wo dar kar
ab aap mere rone ke zaamin ho baradar
gar tum se chuti zeest meri hoyegi kyu'n kar
ab rou'n to jo chaahe kare shimr-e sitamgar
bhaiyya mujhe tu shimr se is waqt bachaale
ab rou'n to kar dijiyo zaalim ke hawaale
ab roi so mai roi na phir roungi zinhaar
ab rou'n agar baap ko apne to gunehgaar
farmaao ke ab chod de mujh ko ye jafaakaar
baazu mera dukhne laga aye aabid-e beemaar
kis tarha juda kunbe se hoyegi sakina
tum kehdo qasam khaake na royegi sakina
ye kehti thi khaincha jo sitamgar ne qazaara
kurta to phata tha wo phata aur bhi saara
tab aabid-e beemar ne rokar ye pukaara
aye shimr ye bin baap ki bachhi hai qudaara
ghaafil teri dehshat se na hoyegi sakina
ab aisi dari hai ke na royegi sakina