baano se dam-ba dam ye sakina ka tha bayaa'n
kaisa makaan hai ke hawaa tak nahi jahaa'n
dekhoongi kis tarha se bhala shakl -e aasmaa'n
hae hae zameen tak nazar aati nahi yahaa'n
amma sabho'n ki jaan quda hi bachaayega
shab ko bhi kya charaagh jalaya na jaayega
aisi hi teeragi hai to bas ho chuki hayaat
mai jaanti hoo'n aaj ki shab ko shab-e wafaat
sote the leke seene pa baba tamaam raat
aadat meri bigaad gaye shaah-e qush sifaat
jab shamma gul huwi hai to ghabraake royi hoo'n
amma bhala kabhi mai andhere me soye hoo'n
maa beti me yahaa'n thi gham angez daastaa'n
aayi paher ke bajne ki aawaaz naagahaa'n
hushyaar bhaaiyo ye pukaare nigaahbaa'n
bhaage aseer to na bachegi kisi ki jaa'n
tadpe dil aur habs jo deh chand hogaya
zindaa'n ka dar lahad ki tarha band hogaya
chillayi jald utt ke sakina ghazab huva
maa ne gale lagaake kahaa shukr ki hai jaa
qurbaan jaau dil ko sambhaalo paye khuda
dekho guzar gayi hai paher raat mai fidaa
ab to bani huvi hai quda par nazar karo
taa subhaa jis tarhaa se ho beti basar karo
tadbeere maa ne ki paye taskee'n ajab ajab
us raat ki tarha se badha dam-ba dam ta'ab
rone me katgayi jo sakina ko nisf shab
naachaar hoke godh me leti wo qush laqab
susti kamaal qaatir-e naazuk pa chaagayi
baate'n jo maa ne ki to zaraa neend aagayi
soyi thi koi dam ke bandha aansuo'n ka taar
dekha ye qaab aaye hai sultaan-e naamdaar
phailaaye haath dhoondti utthi wo dilfigaar
jhuk jhuk ke dekhti thi har ek simt baar baar
kehti thi hai ghazab ka andhera ziyaa nahi
baba kidhar khade ho mujhe soojhta nahi
the sab haram yateem ki baato pe nouhagar
rote the paasbaan bhi mu dhaanp dhaanp kar
naagah gayi yazeed ko is haal ki qabar
machli huwi hai duqtar-e sultan-e behrobar
faryaad kar rahi hai ajab izteraar hai
baba ko dekhne ke liye beqaraar hai
lejaao farq-e shaah ye bola siyaah rooh
lekar sar-e hussain rawaana huwe adoo
thi raah me chamak sar-e anwar ki chaar soo
zindaa'n ke paas jaake jo di gesuo'n ne boo
saidaaniyo'n me hashr huwa saff ulat gayi
zindaa'n ke dar se aake sakina lipat gayi
qush qush khadi huwi thi sakina lagaaye aas
itne me waa'n huwa jo dar aayi gulo'n ki baas
phaili ziyaa-e husn-e shahinshaah-e haq shinaas
roushan huwa makaan jo muddat se tha udaas
doude haram hussain ki tasleem ke liye
sajjad uth khade huwe taazeem ke liye
baithi zamee'n pa leke sakina sar-e imaam
mu rakh ke mu pa qoob kiye uns ke kalaam
ghash aagaya ke laayi qazaa maut ka payaam
lipti sar-e pidar se khinchi sab rage'n tamaam
tha mu pe mu ke zeest ka naqshaa badal gaya
hichki bas ek aayi wahin dam nikal gaya
kurta uthaa ke seene ko dene lagi hawa
zainab se ki ye arz ke padhiye koi duaa
sajjad se kahaa ke idhar aao mai fidaa
beta bahen ki nabz to dekho maraz hai kya
chounka rahe hai sab qabar-e dasto paa nahi
ghash me kabhi ye haal kisi ka sunaa nahi
dekhi jo nabz rone lage aabid-e hazee'n
maa ne kaha tadap ke mujhe taab ab nahi
jo haal hai quda ke liye keh chuko kahee'n
sajjad sar jhuka ke ye bole ke margayi
takleef dijiye na tan-e paash paash ko
jaldi litaaiye ke aziyaat hai laash ko
sadqe gayi huwa is andhere me inteqaal
beti ye daagh dil se na jaayega maah o saal
fizza ne paas baanou se jaakar kiya sawaal
dedo koi charaagh to ehsaan hai kamaal
ho roushni ye rasm hai saare jahaan me
mayyat padi huwi hai andhere makaan me