rokar kahaa ye maa ne ke dilbar jawaab do
khamosh kyu'n ho behre payambar jawaab do
zindaan mey kaisa hogaya mehshar jawaab do
qurbaan jaaoo'n aye meri dukhtar jawaab do
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
zehra ka waasta pae hyder jawaab do
shabbir ka wastaa pae sarwar jawaab do
qasim ka wastaa pae akbar jawaab do
muslim ka wastaa pae asghar jawaab do
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
abbas ki qasam pae jaffar jawab do
dar par khade hai hur-e dilaawar jawaab do
hai inkay saath ibney mazaaher jawaab do
kya boley insey aap ki maadar jawaab do
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
ammu tumhaarey paani bhi humraah laaye hai
choti si mashk kaandhe pe latkaaye aaye hai
paani kay waaste woh lahu me nahaaye hai
kya kya tumhaare waste sadhme utthaaye hai
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
kab se utthaate hai tumhei'n bibi uttho uttho
bekas yateem shah ki pyaari uttho uttho
tum ko sataaengay na ye naari uttho uttho
lo aagayi tumhaari sawaari uttho uttho
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
roothi ho bibi kis liye bolo pae khuda
aankhei'n zara si khol do tum par se mai fidaa
utt baitho ab toh jaldi sey aye jaan-e murtuza
chain aaye mujh ghareeb ko bekas hoo'n ghamzadaa
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
kis se mai puchoo'n kaun bataaengay ab yahaa'n
bibi ko meri aa rahi hai haaye hichkiyaa'n
tewar badal gaye hai phiraati hai putliyaa'n
jungle mey aake lutt gayi ye badh naseeb maa’n
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
soojey huvey hai bibi kay ruqsaar naznee'n
zakhmi badan sey ayntaa hai kurta kahi'n kahi'n
uljhe hai sar ke baal to majrooh hai jabee'n
ghassaala puchti hai kahe kya yeh dil hazee'n
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do
abid mai sadqey ho loo'n toh taabooth tum utthaao
bibi ko mai galey se lagaa loo'n toh leke jaao
inki yeh aakhri hai sawaari mujhey dikhaao phir kis jagaah milogi yeh puchoo'n to leke jaao
maadar ki jaan kunbe ki pyaari jawaab do
bibi jawaab do meri bibi jawaab do