aye momino judaai hai dulha dulhan me aaj
qillat kafan hai paikar-e- ibn-e- hassan me aaj
hai shor alwedaa ka har ek mard-o- zan me aaj
hai beqaraar rooh hassan ki kafan me aaj
shaadi ki jaa pa noubat-e- faryaad aah hai
dulha ki taqt gaah bas ab qatl gaah hai
rote the dhaade maar ke namoos-e- shaah-e- dee'n
aaya dulhan se milne ko shabbar ka naaznee'n
roti thi sar ko zaanu pa rakkhe wo mah jabee'n
sadme se hilgaya jigar-e- qaasim-e- hazee'n
dil thaam kar sooe ruq-e- kubra nigaah ki
ye dard utha ke baith ke masnad pa aah ki
rakh kar dulhan ke maathe pa haath apna yu'n kaha
sar ko uthaao roti ho kyu'n tum pa mai fida
saaheb tumhaare baap ne to ham ko di riza
do tum bhi izn-e jung ke narghe me hai chacha
aate hai teer-e- zulm shah-e- qushqisaal par
wallah jaaye rehem hai ammu ke haal par
ibn-e- hassan ne batho'n me ghola bahot magar
qufle dahan haya thi na boli wo nouhagar
dulha ne jab ke rakh diya jhuk kar qadam pa sar
pahlu me dil tadap gaya phatne laga jigar
ghunghat me aaftaab sa mu zard hogaya
kaanpi ye sharm se ke badan sard hogaya
aakhir bahake ashk ye boli wo rashk-e- maah
lut-te hai bachpane me kahe'n kya zabaan se aah
choda jab aap ne to hamara kaha'n nibaah
qismat me tha ke qaide-sitam me phire'n tabaah
basti luta ke qabr ko aabaad kijiye
jo aap ki qushi hame barbaad kijiye
saheb tumhe qafaa nahi loundi se is qadar
bezaar mout bhi hai ke ab tak na li qabar
kya bas hamara qair sidharo karo safar
niklenge'n ham bhi ghar se koi dam me nange sar
chaale hamare sab se juda hai zamane me
tum honge qatl gaah me ham qaidqaane me
baba qarib-e- marg chacha aazim-e- safar
bhaai gala katane pa baandhe huwe kamar
jaldi tumhi ke pahle hami'n ho-e qoo'n me tar
dhoondu'n bataao kis ka sahara mai nouhagar
do kuch jawaab paau'n pa kyu sar jhukate hai
ek raat ki dulhan ko kise sounp jaate hai
roka hai kisne rote ho kaahe ko isqadar
maalik quda hai, bewou ki lega wohi qabar
hojaayegi hamari bhi har haal me basar
samhjhenge umr bhar isi jangal ko apna ghar
bhaai ki aas hai hame ab to na baap ki
kaatenge dukh randaape ka turbat pa aap ki
poochega gar koi ke hai kis shaqs ka mazaar
tu koun hai jo roti hai yu'n aye jigar figaar
us se bhi ye kahoongi mai baa chashm ashkbaar
shahzaada ek tha ye falak qadr zeewiqaar
noushaah banke baaghe jahaa'n se guzar gaya
sehra bhi sar se khulne na paya ke margaya
sahab hame kalaam ki taaqat nahi hai ab
ye to kaho ke tum se mulaqaat hogi kab
dulhe ne bhar ke aankho'n me aansu kaha ye tab
kousar pa roz-e-hashr miloonga mai tishna lab
daadi ke saath jab sooe firdous jaaogi
jis jaa hussain honge wahi'n hamko paaogi
rokar pukari maa ke mai qurbaan jaau'n aao
nargha hai shamiyo'n ka chacha ki madad ko aao
beta bas ab dulhan ki mohabbat se haath uthaao
lena hai baaghe quld to phal barchiyo'n ke khaao
sadqe gayi azeez na apna lahu karo
jaldi gala katake mujhe surq- roo karo
tapka ke ashk aankho'n se bola wo noujawaa'n
lo ammajaan qaaleq-e- akbar nigaah baa'n
jab ran se aaye laasha-e- majrooh-o- qoo'n chakaa'n
is tehalke me rakhiyega apni bahu ka dhyaa'n
roye to aansu ponch ke samjhaaiyo inhe'n
amma hamari laash na dikhlaaiyo inhe'n