zaqmi jo ran me qaasim-e- gul paihrahan huwa
paida shahaana jode se range kafan huwa
bhaaghe jinaa'n rasool ko baitul hazan huwa
aur fouj-e- kee'n me shaad har ek tegh zan huwa
ghul tha ke round daala hai lashkar ke bagh ko
haa'n ghaazio'n bujhaado hassan ke charaagh ko
ghabraa gaye ye sun ke sada sarwar-e- anaam
abbas-e- naamwar se ye us dam kiya kalaam
lo bhaai jung ho chuki qissa huwa tamaam
aaya sooe yateem-e- hassan mout ka payaam
hamshakl-e- mustafa ko bulalo pukaar ke
maango duaa saro'n se amaame utaar ke
ye kehke qibla ru hue sultaan-e- kaayenath
dargaah-e- kibriya me duaa ki uttha ke haath
aye qaaleq-e- zamee'n-o- zamaa'n rabb-e- paak zaath
in zalimou ke haath se qaasim ko de najaath
tu haafez-e- jahaa'n hai kareem -ur- raheem hai
ya rab bacha ise ke ye baccha yateem hai
nikla ye sab ke mu se ke hai hai hassan ke laal
zainab ne uth ke khol diye apne sar ke baal
seene me hil gaya dil-e- bano-e- qush qisaal
chillayi maa guzar gaya kya mera nou nehaal
abid ka tap se garm badan sard ho gaya
qasim ke chote bhai ka mu zard ho gaya
chillayi roke zouja-e- abbas-e- noujawaa'n
ya rab hai tu yateem-e- hassan kaa nigaahbaa'n
sunkar ye ghul dulhan ke bhi aansu huwe rawaa'n
lekar balaaye'n saas pukaari ke meri jaa'n
qaaleq karega raham na aah-o- bukaa karo
dulha pa aa bani hai mai sadqe duaa karo
is izteraab me jo sunaa saas ka suqan
zanu se sar uthaa ke huwi qibla roo dulhan
aahista ki ye arz ke aye rabb-e- zulmenan
dushman pa fat'ha yaab ho laqte dil -e- hassan
ladne gaye hai tishna dahan teri raah me
rakh mere ibn-e- amm ko tu apni panaah me
yaa rab dulhan bane mujhe guzri na ek shab
dulha jo margaya to mujhe kya kahenge sab
ab tak to sharm se na hilaaye the mai ne lab
par kya kahoo'n ke ab hai meri rooh par ta'ab
shabbar ke aaftab ka waqt-e ghuroob hai
dulha se pehle mujh ko uthaale to qoob hai
sehre ke phool bhi abhi sookhe nahi hai aah
jo aagaya payaam randaape ka ya ilaah
ye aqd tha ke mout thi maatam tha ya ke byaah
baad iske hoga qalq me kyu'n kar mera nibaah
uthu'n jahaan se dilbar-e- shabbar ke saamne
aurat ki mout qoob hai shouhar ke saamne
ghash me jhuka faras pa jo wo gheerat -o- qamar
maara kisi ne farq pa ek gurz taan kar
barchi lagi jo sheesh ki tukde huwa jigar
girte the asp se ke kamar par laga tabar
taareq ki tegh kha ke pukaare imaam ko
faryaad ya hussain bachalo ghulaam ko
jhapte jo shaah fouj pa chamka ke zulfeqaar
bijli giri yazeed ke lashkar pa ek baar
is ghaiz me yamee'n se jo aaye sooe yasaar
bhaage phiraake ghodou'n ki baaghou ko sab sawaar
bhagdadh me qoo'n se ran ki zamee'n laal hogayi
dulha ki laash ghodou se pamaal hogayi
dekha imaam ne ke ragadte hain edhiyaa'n
sookhe huwe labo'n pa hai ainthi huwi zabaa'n
damaad se lipat gaye hazrat basad fughaa'n
be jaa'n huwa hussain ke aage wo neemjaa'n
jab laash uthaayi shah ne to choor isteqaan the
sab chand se badan pe sumou ke nashaan the
lasha udhar se laaye shahinshaah-e- karbala
doudhe idhar se peet te namoos-e- mustafa
fizza thi aage aage khule sar barahna paa
aayi jo sahan me to ye bewo'n ko di sadaa
hatjaaye jin se door ka naata hai saahibo
dulha dulhan ke leno ko aatha hai saahibo