zaqmi sinaa se ran me jo sheh ka pisar huwa
har simt se laeen har ek hamlawar huwa
tar khoon me muraqqa-e- qairul bashar huwa
aaqir juda uqaab se wo seembar huwa
maqtal me kya hujoom tha us noor-e- ain par
parwane gir rahe the charagh-e- hussain par
girna tha bas ke sar pa laga gurz hai sitam
yu jhuk gaye ke hote hai sajde me jaise qam
rakhdi gale pa sheesh ne shamsheer-e- tez dam
talwar ek padi ke huwi phasliyaa'n qalam
ghul tha karo na rehem tan-e- paash paash par
doudha do ghode akbar-e- mahru ki laash par
hazrat khade the qaime ki thaame huwe tanaab
sun kar ye ghul rahi na dil-e- naatawaa'n ko taab
naagaah aayi ran se sada aye falak janaab
beta jaha'n se jaata hai ab aaiye shitaab
laashe pa zulm-o- jor bad affal karte hai
ghodo'n se ahl-e- keen hame pamaal karte hai
sunkar ye istaghasa-e- farzand-e- qushqisaal
syed ne aah ki ke hilaa arsh-e- zuljalaal
khole janaab-e- fatema ki betiyo'n ne baal
bano pukari qair to hai aye ali ke laal
hai hai pisar se kounsi maadar bichad gayi
saaheb bataao kya meri basti ujad gayi
naize se kiske laal ka zaqmi huwa jigar
karte hai kiski laash ko pamaal ahl-e- shar
kehta hai koun ran me tadap kar pidar pidar
ab ghar se mai nikalti hoo'n ya syedul bashar
parda na mujh se kijiye sab jaanti hoo'n mai
aawaz ye usi ki hai pehchanti hoo'n mai
bano ko qasme'n deke chale shaah-e- naamdaar
wo pyas aur wo dhoop ka sadma wo izteraab
dil tha ulat pulat to kaleja tha be qaraar
uth'te the aur zameen pa girte the baar baar
chillate the shabih-e payambar ham aate hai
ghabraaiyo na aye ali akbar ham aate hai
aau'n kidhar ko aye ali akbar jawab do
chilla rahi hai dyodhi pa maadar jawaab do
akbar baraa-e- qaaliq-e- akbar jawaab do
beta jawaab do mere dilbar jawaab do
girte hai ham sawaab ka hatho'n se kaam lo
beta zaeef baap ke baazu ko thaam lo
ye sun ke khainch'li sheh-e-wala ne zulfeqaar
chamki jo barq tegh to bhaage sitam sheyaar
sheh ko nazar pada ali akbar ka raah waar
chillaye aye aqaab kidhar hai tera sawaar
dikhlade mujhko laash mere noor-e- ain ki
kis dasht me padi hai bizaa'at hussain ki
Hichki ke sath kehte hai waa karke chashme tar
Aye jaan jisme zaar me ek dam zara tehar
Aye mout be watan ki jawaani pa reham kar
Aye dard tham zara ke phadakta hai ab jigar Phir ek baar sayyade waala ko dekh lu'n
Mohlat bas itni de ke mai baba ko dekh lu
dushman ko bhi na bete ka lasha quda dikhaaye
hazrat zamee'n pa girke pukaare ke haaye haaye
zinda rahe ye peer jawaa'n yu'n jahaa'n se jaaye
aye laal teen roz ke faaqe me zaqm khaaye
shayad jigar ke zaqm se tum beqaraar ho
zaqmi tumhaari chaati pa baba nisaar ho
kyu'n khainchte ho paau'n ko aye mere gul-e-zaar kyu'n haath utha utha ke patakte ho baar baar
aankhe'n to kholdo ke mera dil hai beqaraar
beta tumhari maa ko tumhara hai intezaar
behne'n khadi hai dar pa tere ishteyaaq me
akbar tumhari maa na jiyegi firaaq me
hazrat ye kehte the ke chala qalq se pisar
itni zubaa'n hili ke khuda hafez aye pidar
hichki jo aayi thaam liya haath se jigar
angdaayi leke rakhdiya sheh ke qadam pa sar
aabad ghar luta sheh-e- waala ke saamne
bete ka dam nikal gaya baba ke saamne