kisi ka qaana-e- ummed be charaagh na ho
jawaan bete ka dilko pidar ke daagh na ho
hazaar baagh lute par qizaa'n ye baagh na ho
pisar ke gham me paresha'n dil-o- dimaagh na ho
falak balaa ka shah-e- karbala pe toota hai
musaaferi me barabar ka laal choota hai
wo laal jisko na pahonche koi durre shahwaar
wahid-e- asr shabaahat me ahmed-e- muqtaar
hamesha misl-e-ali rozedaar shab bedaar
shujaa-o- muttaqi-o-khush mizaaj-o- ghirat daar
ye sab kamaal mile zer-e qaak ek din me
tamaam hogaye atthara saal ke sin me
batool kehti thi faryaad ya ali faryaad
meri bahu huwi barbaad ya ali faryaad
bajaa-e- rehem hai bedaad ya ali faryaad
khuda ke waaste do daad ya ali faryaad
duhaayi yousuf-e- aal-e- abaa ko maara hai
jawaa'n ko maara hai naakit quda ko maara hai
likha hai wa aba'taa ki joo'n hi sadaa aayi
hussain imaam ke chehre pa murdani chaa yi
wo aah ki ke zari-e- rasool tharraayi
rawaana hogayi ashko'n ke saath beenaayi
sawar-e- dosh-e- payambar ki aas toot gayi
inaane sabr jo thaami lagaam choot gayi
pukaarte hai pisar ko pisar nahi aata
jigar me dard hai laqte jigar nahi aata
koi rafeeq-e- shahe bahrobar nahi aata
tumhaare bhaai ko rasta nazar nahi aata
pisar ke gham me quzaada mera halaak huwa
basa basaaya ghar unsat(59) baras ka qaak huwa
yahaa'n to fizza ye karti thi dard ki taqreer
asaa-e aah utha kar udhar chale shabbir
andhera saamne ankho'n ke aur dil e tagheer
har ek baar ye naara ke ya janab-e- ameer
kabhi uthe kabhi sultan-e- mashraqain gire
likha hai ye ke bahattar jagah hussain gire
qadam qadam pa taharte the shaah-e- tishna guloo
hawa me soongte the apne laal ki qushboo
zamee'n pa baith ke gaahe bahaate the aansoo
talaash karte the haatho'n se laash ko har soo
jo koi poochta tha kya huzoor dhoodte hain to roke kehte the aankho'n ka noor dhoondte hain
qareeb-e- fouj jo sultaan-e- bahrobar aaye
pukaare has ke adu qair hai kidhar aaye
ye koun margayaa jo aap nange sar aaye
piyaada dhoop me thaame huwe jigar aaye
ye koun chand huwa aaj door aankho'n se ke chain dil se gaya aur noor aankho'n se
kahaa hussain ne rokar tumhe nahi maloom
hamare ghar me hai mahshar tumhe nahi maloom
miti shabeehe payambar tumhe nahi maloom
chuta hussain se akbar tumhe nahi maloom
rulaane ko ye imaam-e-umam se poochte ho
churi phirake kaleje pa ham se poochte ho
aye aankhe'n waalo mera noor-e- ain kis jaa hai
jawaano bolo mere dil ka chain kis jaa hai
jawaan-e faatahe badr-o hunain kis jaa hai
zaeefo ainak-e chashme hussain kis jaa hai
kaho rasool ki tasveer ko kahaa'n khoyaa
asaa-e- peeri-e shabbir ko kahaa'n khoyaa
pukaara shimr ke koi nahi bataane ka
badaa sawaab hai saadat ke rulaane ka
na zinda chodenge bachha bhi is gharane ka
iraada hai ali asghar ke qoo'n bahaane ka
jo teer paar ho nanhe gale se eid kare
tumhaari god me shishmahe ko shaheed kare
zaeef baap ki peeri pa raham farmaao
qadam qadam pa na jangal ki qaak chan'waao
jo mujh pa haste hai tum unko aankh dikhlaao
ali kaa naam lo aur doud kar chale aao
bulaalo dada ko nazdeek hai najaf beta
akele paau'n ragadte ho kis taraf beta