dashte balaa me gum ali akbar ki laash hai
farzand-e faatima ko pisar ki talaash hai
daagh-e jigar ko naaqoon-e gham ki kharaash hai
sang-e alam se sheesha-e dil paash paash hai
banu ko ghash hai ahle-haram dard mand hai
hai hai pisar ki ghar me sadaaye'n buland hai
chillaate hai ke baap ke pyaare khidhar gaye
aye noor-e chashm aankho'n ke taare kidhar gaye
aye meri zindagi ke sahaare kidhar gaye
pahooncha ke mujhko gor kinare kidhar gaye
andher hai agar na tumhen paayega pidar
aawaaz doge tum to chalaa aayega pidar
roothe ho kis liye ali akbar jawaab do
sadqe ho baap aye mere dilbar jawaab do
aye mere hum shabihe payambar jawaab do
tum se bichad ke zeest ho kyu'nkar jawaab do
jo raah hai tumhaari wohi apni raah hai
laazim hai rahem baap ki haalat tabaah hai
kis jaa pe tum pade ho bataao pidar nisaar
aawaaz hum ko apni sunaao pidar nisaar
hum gir pade hai aa ke uthaao pidar nisaar
chaati se phir pidar ko lagaao pidar nisaar
ruksat hai apne ghar ko zaraa dekh bhaal lo
laghzish hai haath paoo'n me akbar sambhaal lo
kis se mai puchoo'n kaun tumhaara pataa bataaye
ye bekas-o ghareeb musaafir kidhar ko jaaye
qismat me meri thokre'n likkhi hai haaye haaye
is zindagi se kaash khuda humko bhi uthaaye
andher hai ke god ke paalo'n se chutt gaye
manzil pa aake qafile waalo'n se chutt gaye
ab haath bhi pakadd ke uthaata nahi'n koi
rone pa mere rahem bhi khaata nahi'n koi
yousuf ki meri shakl dikhaata nahi'n koi
beta tumhaari laash bataata nahi'n koi
haalat hamaari kaahe ko dekhi hai aap ne
tum ko khayaal hogaa khabar li na baap ne
aye fouj-e zulm baano ke dilbar ko kya kiya
bekas ko tashnakaam ko bepar ko kya kiya
aye zaalimo shabihe payambar ko kya kiya
miltaa nahi'n mere ali akbar ko kya kiya
lillah do pata ke bhatakte hai raah me
shaayad giraa diya mere yousuf ko chaah me
chillati hai ke god ka paala kahaa'n gaya
aankho'n ka noor ghar ka ujaalaa kahaa'n gaya
chashm-o chiraagh-e syed-e waalaa kahaa'n gaya
meraa woh lambe gesuo'n waalaa kahaa'n gaya
do bete kho ke paayaa tha is naunehaal ko
barchi se kisne qatl kiya mere laal ko