maalik se bhare ghar ke ujad jaane ko poocho
ghar waalo'n se ye tafreqa padh jaane ko poocho
maa baap se qismat ke bigad jaane ko poocho
shabbir se akbar ke bichad jaane ko poocho
allah na dikhlaaye alam noor-e- nazar ka
beh jaata hai aankho'n se lahoo qalb o jigar ka
jis waqt ke akbar ko laga zaqm jigar ka
seene me ruka aake dam us rashk -e- qamar ka
girte huwe ghode se qayaal aaya pidar ka
chillaye ke ab kooch hai dunya se pisar ka
bekas ki musafir ki khabar lijiye baba
apne ali akbar ki madad kijiye baba
bete ki sadaa sunke huwa sadma-e- jaa'nkah
ek hook kaleje me utthi baith gaye shaah
maloom huwa jaan chali aah ke hamraah
dil thaam ke hatho'n se kaha ya asadullah
rang udgaya tha gesuo'n pa gard padi thi
tyora ke jo sambhle to basarat me kami thi
chillaye batado ali akbar kidhar aaye'n
dhoonde'n tumhe'n ab bahar me ya sooe bar aaye'n
betaab hai dil qalb me lashkar kidhar aaye'n
tum uth nahi sakte to hami'n laash par aaye'n
maa baap ke jeene ka mazaa legaye beta
oh'daa jo tumhara tha hame de gaye beta
beta hame phir yaa aba'taa kehke pukaaro
mazloom ghareebul ghuraba kehke pukaaro
nashaad-o- giraftaar-e- balaa kehke pukaaro
lab tishna-o- mazbooh-e- qafaa kehke pukaaro
jo waqt moiyyan hai wo hargiz na talega
qanjar meri gardan pa isi tarha chalega
le aayi jo betaabiye dil laashe pisar par
jhukte hi nazar pehle padi zaqme jigar par
ek teer laga qalb-e- shah-e- jinn-o- bashar par
seene pa kabhi haath ko maara kabhi sar par
oopar ke dam us sher ko bharte huwe dekha
baba ne jawa'n bete ko marte huwe dekha
aye darde jigar tham ke shah bahrobar aaye'n
aye jaan na ghabra shah-e jinn-o- bashar aaye'n
aye rooh tawaqquf shah-e- wala idhar aaye'n
aye mout tahar jaa pidar aaye'n pidar aaye'n
armaan-e- dile-e- zaar pisar hosh me nikle
hasrat hai ke dam baap ki aaghosh me nikle
chillaye shah-e- dee'n ali akbar pidar aaya
uttho mere pyaare mere dilbar pidar aaya
tum dhoondte the aye mah-e- anwar pidar aaya
nashaad pidar bekas-o- be par pidar aaya
kuch dil ki kaho baat karo hosh me aao
sadqe pidar aao meri aaghosh me aao
mu khole ho kyu teer ko gardan se nikaaloo'n
gar dard na ho haatho'n se baazu ko sambhaloo'n
girta hai pahaad usko mai kis tarha se taaloo'n
marte use dekhoo'n jise aaghosh me paloo'n
beh beh ke lahu me jigar aata hai tumhara
seene se kaleja nazar aata hai tumhara
kuch mu se to bolo ali akbar, ali akbar
aankhou ko to kholo ali akbar, ali akbar
ruqsat bhi to holo ali akbar, ali akbar
lo baap ko rolo ali akbar, ali akbar
dulha bhi is aaraam se sote nahi beta
ham rote hai aur tum hame rote nahi beta
ghash me jo suni baap ki aawaaz pisar ne
bas haath ko phaila diya us rashk-e qamar ne
lipta liya chaati se shah-e- jinn-o- bashar ne
mu khol ke dikhlaayi zabaa'n tishna jagar ne
farmaya ke qatraa mere jaani nahi milta
majboor hoo'n beta mujhe paani nahi milta
ye sunte hi bas aankho'n se aansu huwe jaari
mu pher ke dekha sooe sahra kayi baari ki arz huzoor aayi hai zehra ki sawari phir dard utha seene me aur ghash huwa taari
khole huwe aankho'n ko musaafir huwe akbar
hichki ka bas aana tha ke aaqir huwe akbar