Momino qaana e zehra me qayamat hai aaj
Betiyou par allah allah ke aafat hai aaj
Gham se taagheer har ek shaqs ki haalat hai aaj
Qalq se shabbar e zeejaah ki rehlat hai aaj
Dushmane aale nabi ne ye sitam dhaaya hai
Sam e qaatil shahe zeejah ko dilwaaya hai
Haal ye sheh ki shahadat ka kutab me hai raqam
Kooze me daal diya jodha e maloona ne sam
Pyaas thi shab ko jo bedaar huwe shaahe umam
Nosh paani kiya us koozeh se sheh ne jisdam
Ghair ehwaal huwa fatima ke dilbar ka
Muh ko kat kat ke jigar aane laga shabbar ka
Di ye zainab ko sada thaam ke hathou se jigar Phir kisi ne diya sam bhaai ko doud'ho qwahar
Pherta hai koi goya ke jigar par qanjar
Hai ye nazdeek suwe quld ho dunya se safar
Jald ab taaba e taqdeer ko bulwaao behan
Tukde dil hota hai shabbir ko bulwaao behan
Qabar e badh kisi bhaai ki na sunwaaye quda
Bhai ke ranj me bhai ko na rulwaaye quda
Tukde bhai ke kaleje ke na dikhlaaye quda
Bhai ke aage na bhai ki ajal aawe quda
Sunke ehwaal e hassan sadma o gham paaye hai
Bhai se ruqsat e aqir ko hussain aaye hai
Kehte hai zabt ka mujhko nahi yaara bhai
Uth gaya qalq se ab chain hamara bhai
Hogaya tukde jigar zehar se saara bhai
Dekhu kis tarha se ye haal tumhara bhai
Bhai jaa'n bekaso nashaad se muh modhte ho
Sitam aijaadou ke narghe me mujhe chodhte ho
Hogaya paani, ye haal jo maloom huwa
Leke shabbir ne us kooze ko peena chaha
Bole bhai se lipat kar hassan e sabz qaba
Bhai ye aapka hissa ye kya ye kya
Apne waade ko zara dhyaan me laao bhai
Hai pareshaan haram jaa'n naa gawaao bhai
Tum pe jo baad, mere hona hai pyaare bhai
Hai mere peshe nazar zulm wo saare bhai
Dil pe chalte hai mere ranj ke aare bhaai
Tashnalab rehna hai darya ke kaanere bhaai
Bhook me teer o tabar jism pa khana hai tumhe
Aab e shamsheer se pyaas apni bujhaana hai tumhe
Teen din peet'te rone me huwe jab ke basar
Khol kar aankhou ko kehne lage sab se shabbar
Tum se ruqsat hai meri aye harame qair e bashar
Aaye hai quld se lene ko mere paighambar
Sounpa bhai ko quda ko tumhe unko
Sab meri tarha imaam apna samjhna unko
Kehte the ye, huwa zard ruq e paak tamaam
Hichkiya'n aane lagi ho gaye bechain imaam
Padhgaya aale rasool e arabi me kohraam
Kalma padh ke suwe quld gaye shaahe imaam
Peet kar seena o sar ehle haram rone lage
Muh ko ashkou se hussain ibne ali dhone lage
Laash pe gir ke kaha haaye aqi haaye aqi
Sath mujhko na liya haaye aqi haaye aqi
Kar gaye aap qaza haye aqi haye aqi
Chain bhaai ka gaya haye aqi haye aqi
Dukh me ab koun meri lega qabar bhaai jaa'n
Kargaye chod ke bhai ko safar bhaai jaa'n
Qalq me hota hai jaankaah alam bhaai ka
Sadma hota nahi kuch mout se kam bhaai ka
De na qaaliq kisi hamsheer ko gham bhaai ka
Kisi qwahar se bichadna hai sitam bhaai ka
Bhaai ke daagh ko hamsheer ke dil se pucho
Ranj ye zainab e dilgeer ke dil se pucho
Laash par bhaai ki rote the shahinshaahe hudaa
Aaye'n jo itne me waa'n binte janaabe zehra
Ashk aankhou me the riqqat se badan kaanpta tha
Bhaai ke laash pe chaadar ko udha kar ye kaha
Ranj me apne ziyaada na rulaao bhai
Jald nashaad behan ko bhi bulaao bhai
Hogaye aap suwe quld rawaa'n bhai jaa'n
Rehgayi peetne ye soqtaa jaa'n bhai jaa'n
Hai meri aankhou me taareek jahaa'n bhai jaa'n
Paayegi tum ko ye naashaad kaha'n bhaai jaa'n
Huwi paida mai buzurgou ke liye rone ko
Nahi maloom ke jeeti hu kise rone ko
Haq se karne lagi ye arz wo naashaad o hazee'n
Qaaliq e jinno bashar rabbe samawaat o zamee'n
Ek bhaai ke siwa ab koi zainab ka nahi'n
Iski bhi jaan ke dushman hai hazar o be dee'n
Ab kisi ki na kare qidmat e aaqir zainab
Ab odh'he na kisi laash pe chaadar zainab
Ghusl jab de chuke mayyat ko baraadar ki hussain
Rakhhi taboot me kafnaake huwa dil bechain
Le chale ghar janaaza jo ba'ad shewan o shain
Ahlebait e nabawi doudhe ye karte huwe bain
Hujra e paak e hassan hogaya qaali hai hai
Qabr me sone chale sayyad e aali hai hai
Behne chillati hai rokar kaho kab aaoge
Mil ke nana se baradar kaho kab aaoge
Bain zouja ke the sarwar kaho kab aaoge
Ghar me aye sibte payambar kaho kab aaoge
Ab naa paaungi amaa'n sadma o gham se moula
Chain tha mera faqat aap ke dam se moula
Koun lega mere bachou ki qabar aap ke baad
Kis tarha hogi yateemou ki basar aap ke baad
Kya kare jee ke, ye tanqeeda jigar aap ke baad
Qoob hai loundi bhi marjaaye agar aap ke baad
Jald is gulshan e hasti se guzar jaau mai
Hone paaye na suwam aapka mar jaau mai