Kanz e Aza

Nouha ye zainab ka tha aye hassan e mujtaba

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Noha yeh Zainab ka tha aye Hassane Mujtaba, Aagayi kaisi qaza aye Hassane Mujtaba.

Apko ko aksar diya zeher sitamgaar ne, Chain na dam bhar mila aye Hassane Mujtaba.

Chin gaya haq apka hogayi kya kya jafa, Uf na zabaa'n se kiya aye Hassane Mujtaba.

Jahda e almaloona ne Zeher yeh kya diya, Tukde jigar hogaya aye Hassane Mujtaba.


Muh se kaleje ke sab tukde gire tasht me, Margaye sehkar jafa aye Hassane Mujtaba.

Bhabhi ko bewa bane dekhu mai kis tarah se, Kya yeh sitam hogaya aye Hassane Mujtaba.

Aj se bin baap ke aapke bachhe huwe, Sabko hai sadma bada aye Hassane Mujtaba.

Nana ke pehlu me aah dafn na hone diya, Zulm yeh kaisa hua aye Hassane Mujtaba.


Laash pe nawak chale teer badan pe lage, Hogayi kya kya jafa aye Hassane Mujtaba.

Choti behen ko hai gham bhaiyou ko hai alam, Dam hai labou par mera aye Hassane Mujtaba.

Rok 'Hussaini' qalam ab nahi taab e raqam, Karti hai Zainab buka aye Hassane Mujtaba...