shabbir ro rahe hai zainab bhi ro rahi hai
ruqsat ka waqt dekhiye kaisa hassan ka hai
teeron ke sayeban mein janaza hassan ka hai
zainab hai nauhakhan hai to girya kuna hussain
ye kitna sogwaar gharana hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
kya aaj tak suni kisi mayyat ki waapsi
bas ek janaza laut ke aaya hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
jo zehr e halahal diya jauda ne hassan ko
tukdon mein usne baata kaleja hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
zainab pachaade khaati hai farwa ke bain se
kulsoom ki zaban pe nauha hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
qasim ko kamsini hi mein hona pada yateem
ye kehke khoon rota gharana hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
zehr e dagha se jism ki rangat badal gayi
chehra bhi haath paon bhi neela hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
tanha hassan ka ghar se janaza utha magar
socho to aaj saath mein nana hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
ghurbat ke hai hisaar mein farwa ka noor e ain
qasim ke sar pe ab kahan saaya hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...
lafzon mein uska ho nahi sakta bayan kabhi
khadim ke dil mein aaj jo sadma hassan ka hai
ruqsat ka waqt dekhiye...