roke madar ye karti thi nouha, haaye maara hassan askari ko
chal basa meri godi ka paala haaye maara hassan askari ko
dhundne usko kis simt jaau, kehke kya apne dil ko manau
tha zaeefi ka meri sahara haaye maara hassan askari ko
saal unteeswa kaisa aaya, mere bache se mujhko chudaya
kardiya mera tukde kaleja haaye maara hassan askari ko
ho kaha'n aye mere laal aao, apni bewa ko aakar manao
dekho aakar tadapti hai dukhiya haaye maara hassan askari ko