Kanz e Aza

Nikla tha janaza jo ghar lot ke aaya hai

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Nikla tha janaza jo ghar lot ke aaya hai x4

Kis kis tarha se aal ko x2 Ummat ne sataya hai

Hai zeher ne tukde kiye shabbar ke jigar ke x2

Hai teeron ka badal to taboot pe chaya hai x2


Hai fatehe khaibar ko le aaye bana qaidi x2

Hai binte muhammed par darwaza giraya hai x2

Karbal main mera bhai be akber o asgher jab x2

Qurban karna qasim farwa ko bataya hai x2


Maula hasan ke choom ke lab kahte the ahmed x2

Haye in laboon se jigar-e-hasan tasht main aaya hai x2

"Najfi" tu sina kobi kar aur ashq baha bhi x2

tabut e hasan momino ke halke me aaya hai x2


Barsaat me teero ki taboot jo aya x2times

Ghazi ki jalalat ne kohram machaya hai

Dilwaya zaher teer bhi mayyat pe chalaye

Khudh saaz khalifa ne muayede ko bulaya hai