Momino ro'o ke ye roz e gham o aafat hai
ranj se zainab e bekas ki buri haalat hai
Sar pe shabbar ke gira kohe gham o hasrat hai
Qalq se haidar e karrar ki ab ruqsat hai
Uth gaya chain giraftaar e mehan hote hai
Be pidar haye hussain aur hassan hote hai
Ab hai dushwaar yadullah ka sehat paana
Hai pareshaan pisar choota hai aab o daana
Kya qayamat hai musibat me yateemi aana
Nahi do roz se khaya hai kisi ne khana
Muh ko chup chup ke pisar aansu'ou se dhote hai
Dam badam zouf se behosh ali hote hai
Kya bayaa'n zainab o kulsoom ki howe haalat
Dekhti jaati hai aa aake pidar ki surat
Sehan me jaake dua karti hai baasad riqqat
Ya quda dijiyo baba ko hamare sehat
Ham ghareebo ka nahi koi sahara ya rab
Ab yahi chaahne wala hai hamara ya rab
Ghar me aa jate hai bahar se kabhi jo shabbir
Dekh kar bhai ke muh ko hai ye kehti hamsheer
Bhai jaan dekhte ho haal e shahe qaibar geer
Kisi jarrah ko bulwaao karo kuch tadbeer
Mujh ko kuch ban nahi aata hai karu kya bhai
Aankh bhi ab to nahi kholte baba bhai
Zaqm e sar dekh ke phat'taa hai kalejaa mera
Qair allah kare dil hai dhadakta mera
Ab jahaa'n me hai yahi chaahne wala mera
Raas aaya na mujhe koofe me aana mera
Kis ko zaqm e sar e purnoor dikhaye zainab
Kis se faryaad kare kis ko bulaaye zainab Phir ye kehne lage fizza se shahe arsh nashee'n
Aaj bachou ne mere khana bhi khaya ke nahi
Jod kar hathou ko kehne lagi wo zaar o hazee'n
Khana kaisa piya paani bhi nahi ya shahe dee'n
Na to khaate hai na shab ko ye zara sote hai
Dekhte jaate hai haal aapka aur rote hai
Kaha shabbar se uthaao mujhe aye laal zara
Baitha mai bhi hu tum khana mangaao beta
Bole shabbir se paas aao mere maahe laqa
Qushk lab dekh ke tere mujhe sadma hai bada
Yaad zahra ki waseeyat hai qalaq hota hai
Tum jo bhooke ho kaleja mera shaq hota hai
Yaad ye waqeya tum ko bhi meri jaa'n hoga
Naza ke waqt ye madar ne tumhari tha kaha
Dhyaan yu to rahe har noor e nazar ka moula
Mere shabbir ko par bhooka na rehne dena
Dard me mere hai is waqt ifaaqa beta
Khana kha lo ke ho do roz se faaqa beta
Hai ghaneemat ke jo baithe hai koi dam milkar
Khaalo do luqme mere hath se aye jaan e haidar
Tum mere baad jo bhooke bhi rahoge dilbar
Koi us waqt tumhari nahi lewega qabar
Bhooke pyase jo mere baad rahoge shabbir
Yaad us waqt bohat hum ko karoge shabbir
Keh ke ye roye jo sheh aagaya ghash phir naagah
Raat bhar ghash me karaaha kiye shaahe zeejaah
Jab ke kuch subha ke aasar numaaya huwe aah
Qalq se sher e quda uth gaye inna lillah
Hua andhyaara bujhi shamme imaamat hai hai
Mar gaye waqt e sehar shaah e wilaayat hai hai
Aayi itne me waha zainab e zaaro naala'n
Muh se sarka ke rida bole basad aah o fughaa'n
Hum se muh mod ke hazrat to gaye suwe jinaa
Kis ko sounpa hame farmaaiye ab baba jaa'n
Uth gaye dehr se sab chaahne wale humko
Kar gaye haye pidar kis ke hawaale humko
Aap ke dam se tha amma ka meri ghar aabaad
Hai ghazab ho gaye hai koofe me aakar barbaad
Be pidar ho gaye be maa ke to the ham naashad
Koun ab aayega karne ko hamari imdaad
Nana jaan margaye baba ka sahara na raha
Zulm jo chaahe kare koi hamara na raha
Ab yateemou ki madad karne ko aayega koun
Zulm se jor se ab haye bachayega koun
Royenge shaam o sehar hum to manayega koun
Pyaar se khana hame aah khilayega koun Kyu na nazrou me jahaa'n ho meri kaala baba
Koun zainab ka hai ab poochne wala baba
Ranj o andoh se hoga na safar aap ke baad
Dukh pa dukh denge hame baaniye shar aapke baad
Kuch to farmaaiye ham jaaye kidhar aap ke baad
Kis tarha hogi yateemou ki basar aap ke baad
Uth gaya qalq se aaram hamara baba
Ab yateemou me likha naam hamara baba