aye hyderiyo rehlate hyder ki ye shab hai
be warisi-e aale payambar ki ye shab hai
aye matamiyo ro-o ke mehshar ki ye shab hai
lo waqeya-e- faatahe qaibar ki ye shab hai
kal momino'n ke sar se yadullah uthega
taaboot-e- janabe asadullah uthega
lo momino tum hogaye be waris-o- waali
lo dosto hai tum se widaa-e- shah-e- aali
kal subha wo chillayenge hyder ke mawaali
aaj ahmed-e- muqtaar ki masnad huwi qaali
tukde kiye zehra ne girebaan-e kafan ke
koi na raha sar pa hussain aur hassan ke
masjid me sitamgaar ne kaabe ko giraya
be qadr shab-e- qadr ka kuch dhyaan na laya
mehraab me qandeel-e imamat ko bujhaya
saidaaniyo'n ko eid ke nazdik rulaya
darda shahe loulaak ke daamaad ko maara
faryaad ke jibreel ke ustad ko maara
ab waaqeya-e- shere quda karta hu tahreer
qaatil ko pakad laye ju-hi shabbar-o- shabbir
mushke'n thi bandhi kampta tha qouf se bepeer
laanat ki tarha tegh thi qaatil ke gulugeer
rahem aagaya zalim ke larazne pe ali ko
farmaya mere aage se sarkaao shaqi ko
jab le chale qatil ko to bole shah -e- abraar
ye dushmani-e shere quda, aye sag-e makkaar
is maahe mubaarak me kiya zulm jafaakaar
kya teri imamat ka ali tha na sazawaar ki sharm na mahboob-e- quda se na quda se
le dekh ye rote hai payambar ke nawase
tha saath laee'n masjide koofa se saraasar
ghar le chale sibtain-e- nabi sheh ko utha kar
the gird to is laash ke sab shia-e hyder
farzand-e- yateem aage the sar nange barabar
zainab pe yatimi ki musibat jo padi thi
chillati thi sar peet ti thi dar pa khadi thi
abbas se hyder ne kaha chupke se jaao
haa'n fatima ki beti ko dyodhi se hataao
samjhao ke bas arshe quda ko na hilaao
rehgirou'n ko awaaz na rone ki sunaao
ek waqt ye tha ek wo aafat ki ghadi thi
ran me yahi zainab thi ke sar nange khadi thi
ye kehte hi be-chain huwe hyder-e- karrar
shabbir ki ghurbat pa jigar hogaya afkaar
ek simt se itne me suna nouha kayi baar
lete the pa uth baithe, ye karte huwe guftaar
kis dard rasidah ki ye faryaad-o- bukaa hai
ye to mere abbas ke rone ki sada hai
rokar kaha moula ne abas isko hai waswaas
kyo'n kyo'n mera abbas nahi aata mere paas
ye sunke phire sar ko jhukaaye huwe abbas
aur baandh ke hatou'n ko ye ki arz basad yaas
wo dard hai mujhko ke ifaaqa nahi baba
in sab ka hai aaqa mera aaqa nahi baba
farmaya ali ne ke na ro aye mere dildaar kyu rote ho jeeta hai abhi hyder -e- karrar
be waaris-o waali tumhe chodunga na zinhaar
lo doulat-e- kounain tumhe deta hai ghaffar
allah salamat rakkhe moula ko tumhare
rootho na bulaata hu mai aaqa ko tumhare
phir roke kaha raazi-e taqdeer ko laao
mazloom ko laao shah-e- dilgeer ko laao
shamme lahade saahibe tat'heer ko laao
shabbir ko laao, mere shabbir ko laao
laao use aafat ka falak jis pa girega
sar jiska isi koofe me naize pa phirega
ye kehte hi shabbir se ghash kargaye hyder aur jaanib-e- allah-o payambar gaye hyder
deedaar ke pyase labe kousar gaye hyder
hyder ke pisar rone lage margaye hyder
ghul padh gaya shaa-hinshah-e- zeejaah sidhare
jannat ko jaha'n se asadullah sidhare