Aye kafeel e nabi abu taalib
Sayyade hashmi abu taalib
Deen ki zindagi abu taalib
Jaan imaan ki abu taalib
Aamena ke hai phool ko paala
Tu ne rab ke rasool ko paala
Baara farzand tere hai jo imaam
Jin se jaari hai haq rasi ka nizaam
Tera aaghaaz bhi hai khush anjaam
Tujh ko kehte hai mohsin e islaam
Jaari haq ka sabaq tujhi se hai
Haq to ye hai ke haq tujhi se hai
Wo jo quraa'n ki aayat se pehli
Jo ke qable rasool tu ne padhi
Hai daleel ek tere imaa'n ki
Tera alhamdulillah kehna bhi
Roohe imaa'n bane tere jumle
Aayatou me dhale tere jumle
Naat goyi ke qaaliq o baani
Zaat teri hai zaat e irfaani
Tujh se zaahir hai qoo e imaani
Kulle imaan hai tera jaani
Nekh seerat hai nekh baqt hai tu
Kalma goyou ka sar parast hai tu
Log barish ki the dua karte
Tere ash'aar ke waseele se
Kibriyaai sifaat the tere
Jaari hai tere faiz ke chashme
Aap baara ke haq me heela hai
Kitna mahkoom tera waseela hai
Tujh se khaate the qouf baani e shar
Tera dar tha laeenou ke upar
Bu lahab bu jehal se taqatwar
Kaamp jate the naam ko sun kar
Kufr ka zor kuch dikha na sake
Wo mohammed pe hath utha na sake
Tha unhe yu rasool par ghussa
Bud parasti par kyu kiya hamla Kyu kaha ek hai quda sab ka Kyu padha la ilaaha ilallah
Ek dil mashr keene makka the
Dar paye jaa'n nabi ke aada the
Chahte the mitaade naame nabi
Koshish unki thi har qadam pe yahi
Tu ne jis dam nabi ki li pushti
Khal gayi unko ye ada teri
Us himaayat ka badla lete hai
Dukh tujhe aaj bhi wo dete hai
Tujhpe ilzaam kufr ka dharna
Hai saqeefaai ek mansooba
Tohmatou ke sahare par aada
Aaj tak bhi hai dar paye eeza
Qoon me unke jo najasat hai
Dil me unke teri adaawat hai
Tere dushman hai nasl e be tehqeeq
Ho chuki jin ke jhoot ki tasdeeq
Deen me ghus gaye the kuch zandeeq
Koi farooq aur koi sadeeq
Laanate unpe bheja karte hai
Momin unpe tabarra karte hai
Tera saaya jo uth gaya aaqa
Ho gaye qud rasool be saaya
Mera baba mera chacha na raha
Kehte hai roke ye rasool e quda
Kya musibat nabi pe aayi hai
Shaaq dil par teri judaayi hai
Dil se ho kar malool rote hai
Baagh e zehra ke phool rote hai
Ba safa ba usool rote hai
Tere gham me rasool rote hai
Tera ehsaa'n nibha rahe hai nabi
Teri mayyat utha rahe hai nabi
Koi hamdard tujh sa ab na raha
Gham se behaal hai rasool e quda
Hai digar haal gham se moula ka
Uth gaya sar se baap ka saaya
Aaj haq ke wali yateem huwe
Haye moula ali yateem huwe
Roye gham me tere rasool e quda
Apne hathou se tujh ko kafnaaya
Tere taaboot ko diya kaandha
Tera kis shaan se janaza utha
Jab sawaari makaan se uthhi
Teri mayyat bhi shaan se uthhi
Chot gham ki jo dil pe hai khayi
Karbala ne hai shakl dikhlaayi
Gham e sarwar ki hai fizaa chaayi
Bekasi e hussain yaad aayi
Qalb e zehra ke chain ka laasha
Bekafan tha hussain ka laasha