Kanz e Aza

MOMINOU AAJ QURASAAN ME HAI TAAZA MAATAM

A marsiya for Imam Raza (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

momino aaj qurasaa'n me hai taaza maatam

thar tharaate hai falak arsh-o- zamee'n loh-o-qalam

aate hai aal-e- abaa qaak udaate baaham

aabid-o- baaqar-o- jaafar wa janaab-e- kaazim


mu ko sab ahle aza aanso'n se dhote hai

jama mayyat ke uthaane ke liye hote hai


kya kiya qehr ke be jurm-o- qataa ko maara

dilbar-e- faatema-o- sher-e- quda ko maara

zeher dilwaake gharibul ghuraba ko maara

aaj maamoon ne mazloom raza ko maara


qaak me milgaya ek aur gul-e- baaghe zehra

gul huwa aaj qurasaa'n me charaaghe zehra


is tarha waaqeya hai aaj ka raawi ne likha

ibn-e- haaroon ne hazrat ko ju hi bulwaaya

aaye darbaar me jis waqt imaam-e- dosaraa

taqt par apne qari'n shaah ko bhi bithlaaya phir kaha shaah se farmaaiye to pesh karoo'n

aap ke waaste angoor mai le rakkha hoo'n


kaha mazloom ne mujh ko nahi angoor ki chaah

kisi liye saamne hai tasht jo tu ne rakkha

kiya israar jo usne to imaam-e- zeejaah

khake angoor ko kehne lage inna lillah


poocha maamoon ne kya baat hai farmaaiyega

sar jhuka kar kaha masmoom ne maloom huwa


khake angoor-e- dagha aaye hai ghar ko apne

qai kiye jaate hai pakde huwe sar ko apne

dard hota hai dabaate hai jigar ko apne

yaad farmaate hai hamsheer-o- pisar ko apne


syed-o- bekas-o- mazloom gharibul ghuraba

muztarib haal hai masmoom gharibul ghuraba


mout ka aagaya chehre pa pasina yaaro

ghash me hai waaris-e- sultaan-e- madina yaaro

aathwaan mohr-e- nabuwaat ka nagina yaaro

qaak me milta hai ahmed ka qazina yaaro

dar-o- deewaar ko hasrat se raza dekhte hai aur unhe yaas se sab aal-e- abaa dekhte hai


peet'ti hai kabhi sar ko kabhi tharrati hai

faatema istarha rone ke liye aati hai

jaanib-e- arsh-e- ulaa rooh-e- raza jaati hai

bekasi laash pa roro ke ye chillaati hai


mout ki hichkiyaa'n ab leta hai dibar uska

chaar hammaal uthaaye the janaaza jiska


sach hai ghurbat ki ajab mout hai aye ehle azaa

naa koi monis-o- yaawar na dawaa hai na ghiza

bistar-e- marg pa the aap tawakkal ba qudaa

naa koi paani pilaane ko dam-e- aaqir thaa


wahi bekas hai raza naz'aa me inna lillah

haaye kya waqt hai mazloom pe allah allah


qaak ka farsh ridaa gard tawakkal takyaa

uf bhi karta nahi qaamoosh hai sone waala

naz'aa me dekha raza ne jo shabi-e- zehra

band aankhe huwi aur qaatema bilqair huwa


ek hichki ka bas aana tha ke dam tod gaye

momino ke liye yaad apni raza chod gaye


aake yasrab se taqi dekhte hai kya naqsha

band aankhe kiye behosh pade hai baba

sar ko baba ke utha zaanu pa apne rakha

roke chillane lage kya ye huwa hai aba'ta


kab se chillata hai sar peet ke nalaan taqi

aankho'n ko kholo zara aap ke qurbaan taqi


baap ka pursa do bete ko tum aye ehle azaa

jisko mamoon ne khilwaaya hai angoor-e- daghaa

neelgoo'n hogaya hai jism-e- mubarak jiskaa

jiski mayyat pa nahi koi bhi rone waala


be pidar hogaye masmoom taqi waawailaa

haaye bejaa'n huwa kaazim ka wasi waawailaa