Naam hai nekh naam fizza ka
Aayate hai kalaam fizza ka
Qidmate haq hai kaam fizza ka
Rab se pucho maqaam fiza ka
Sar se paa tak salaam hai fizza
Wajib ul ehteraam hai fizza
Wo madeene me aayi thi jis dam
Us pe taari thi bekasi ka alam
Tha aseeri ka us ko gham paiham
Us pe barsa nabi ka abre karam
Naam us ka rasool ne rakhha
Apne ghar me batool ne rakkha
Us ko qismat ali ke ghar laayi
Chod kar wo shahinshaahi aayi
Us se meraaj e haq rasi paayi
Fatima ki kaneez kehlaayi
Us ka rutba buland o baala hai
Chaar imamo ko us ne paala hai
Saltanat chod kar wo aayi thi
Uf re fizza ki door andeshi
Tarbiyat uski fatima ne jo ki
Ho ke seefal chamak uthi chaandi
Qaak se noor bangayi fizza
Sar ta paa hoor ban gayi fizza
Apni fitrat ko haq mizaaj kiya
Ghar me zehra ke kaam kaaj kiya
Hubbe zainab ko sar ka taaj kiya
Deen ki saltanat me raaj kiya
Haq ki nazrou me ba weqaar bani
Wo kaneezi me naa jawaar bani
Jab jaha'n se guzar gayi zehra
Tha ajab haal gham se bachou ka
Uth gaya maa ka sar se jab saaya
Ghamzadou ko tha aasra tera
Aise aalam me bhi rafaaqat thi
Tu ne maa ki tarha se qidmat ki
umme kulsoom aur zainab ki
Paasbaani me teri umr kati
Dil se hasnain par nisaar huwi
Sab ko ghere thi maamta teri
Teri ulfat ka rang anokha hai
Maa ki ankhou se sabko dekha hai
Karti thi ghar ka roz aana
Ek din fizza ek din zehra
Yaa bano ka aur kaneezi ka
Ghar me zehra ke jo nahi paaya
Dil se hairaan ho gayi fizza
Ghar pe qurbaan ho gayi fizza
Roniya tu ne bhi jo di fizza
Tujh ko bhi rab ne haq diya tera
Zikr tera bhi shukriya me kiya
Hal ata me bhi hai tera qissa
Teri qairaat qair kaamil hai
Sath tu panjetan ke shaamil hai
Tujh pe toote sitam jo baade nabi
Fatima ki ajab haalat thi
Huwi jis dam wafaat mohsin ki
Tu ne ki fatima ki diljoyi
Gham ke toofa'n ko tune taala hai
Tu ne shehzadi ko sambhala hai
Ranj o gham ke safar me sath rahi
Raah e qoufo qatar me sath rahi
Pyaas ki rehguzar me saath rahi
Tashnagi ke nagar me sath rahi
Karne qidmat ka haq ada pohanchi
Sath zainab ke karbala pohanchi
Fatima ka ujad ta ghar dekha
Jhule wale ko qoo'n me tar dekha
Zaqmi akbar ka bhi jigar dekha
Noke naiza pe sheh ka sar dekha
Tu shahe mashraqain ko royi
Karbala me hussain ko royi
Aye kaneeze batool nekh sifaat
Ranj o gham se mili na tujh ko behal
Sadme tu ne uthaye hai din raat
Shamil e karbala hai teri wafat
Rutba maa ka diya hai zainab ne
Tujh ko amma kaha hai zainab ne
Seh ke ranjo mehan jahaa'n se gayi
Zindagi bhar tu sogwaar rahi
Tanha tuj pe har bala ki huwi
Khoo'n rulaati hai bekasi teri
Ashk ankhou me bharke laye hai
Sab Azadar rone aaye hai