bistar se tharthara ke uthi thaam kar asaa
qabre nabi pa fateha-e- aaqri padha
hamsaiyo'n ke ghar gayi ruqsat ko aur kaha
lo sahebo behel karo ab kooch hai mera
eezaa thi tum sabho'n ko mere shor-o shain se
kal fatima na hoyegi tum sona chain se
ham saaya ke huqooq se aagah hai jahaa'n
logo mere yatimo'n se rehna nigah baa'n
ab sath inka aur tumhara hai ham kaha'n
bin maa ki hoti hai meri dukhyari betiya'n
bachpan pa apne bachho'n ke aansu bahati hu
tum par hassan hussain ko mai chode jaati hu
rokar kabhi hassan ko gale se laga liya
aaghosh me hussain ko gaahe bitha liya
ruqsat kiya kisi ko, kisi ko bulaa liya
padhne ke waaste kabhi quraa'n utha liya
kehti thi gaah bachho'n se mu apna modd ke
kal soone ghar me sona hai basti ko chod ke
sunlo waseeyate meri is waqt ya imaam
fizza se mere baad adalat se lena kaam
hushyar fatima ki amaanat se subh-o shaam
do betiya'n do bete hai bas aur quda ka naam
mai ne bade dukho'n se ye sab bachhe paale hai
haq ke hawaale tum ye tumhare hawale hai
sab hashmi qasam meri ismat ki khate hai
mujh ko arab ki rasm se andeshe aate hai
aurat ka murda taqth pa rakh kar uthaate hai
aasaar is me murde ke sab paye jaate hai
deti hu main qasam tumhe rooh-e rasool ki
waali na yu utthaiyo mayyat batool ki
hai aarzu ke qabr me mujh ko hassan litaaye
shabbir mere laashe ka mu qibla roo phiraaye
phir qud kaha, nahi nahi bachha hai dar na jaaye
nagaah khelte huwe dono yateem aaye
chaati lagaa ke boli ke, lo ham toh marte hai
tum se sulook dekhiye kya log karte hai
ye kehti thi ke ghash ne diya maut ka payaam
hujre se nikle rote huwe aqroba tamaam
tarteeb-e- naash ke liye baahar gaye imaam
zehra ne yaa'n musalle pa apna kiya muqaam
likha hai bas namaaz ishaa ki adaa huwi aur ghul utha ke binte nabi ki qazaa huwi
maatha hassan ne laashe ke maathe pe rakh diya
ro ro ke amma amma kaha aur ghash huwa
talwo'n se apne maathe ko shabbir ne malaa
paa'o me dam na paya, to ye kaan me kaha
mai aap ka ghulam hu aur noor-e ain hu
aawaz do hussain hu, amma hussain hu