Durood Padh Ke Watan Ko Chala Hussain Ka Laal
Qareeb Pohanchi Madine Ke Jab Rasool Ki Aal
To Apne Haathou Pe Zainab Ne Rakhe Sar Ke Baal
Kaha Madine Se Kulsoom Ne Ba Ranj-O- Malaal
Lutaa Ke Aaye Hai Zehra Ke Sab Gharaane Ko
Na Kar Qubool Tu Ham Bekasou Ke Aane Ko
Madina Ham Tere Waali Ko Aaye Hai Khokar
Madina Gardan-E- Shabbir Par Chala Qanjar
Madina Koofe Me Sar Nange Ham Phire Dar Dar
Madina Daaghe Rasan Hai Hamaare Shaanou Par
Ham Aaye Zinda Pa Zehra Ka Noor-E- Ain Nahi
Madina Akbar-O- Qasim Nahi Hussain Nahi
Hili Zameen Madine Ki Us ghadi Paiham
Kiya Basheer Ko Sajjad Ne Talab Us Dam
Gale Me Shaal-E-Aza Daaldi Ba Deeda-E- Nam Aur Uske Haath Me Rokar Diya Siyaah Alam
Kahaa Ke Jaa Nahi Go Apne Mu Dikhaane Ki Magar Watan Me Qabar Karde Mere Aane Ki
Chala Basheer Ye Dete Huwa Qabar Har Jaa Magar Muhalla-E- Haashim Me Dekhta Hai Kya Ke Ek Mariza Sare Raah Hai Khadi Tanha
Jo Naam Poocha To Ro Ro Ke Boli Wo Sughra
Basheer Kehne Laga Kyu Tu Shor-O- Shain Me Hai
Kaha Ye Haal Mera Furqat-E- Hussain Me Hai
Basheer Samjha Ye Bint-E- Hussain Hai Sughra
Qamoosh Reh Gaya Sughra Ke Mu Pe Kuch Na Kaha
Pukaari Faatema Gardan Me Dekh Shaal-E- Azaa
Tu Bhaai Laaya Hai Kis Ki Sunaani Mujh Ko Sunaa
Wo Bola Qaasid-E- Beemaar-E- Karbala Hu Mai
Sunaani Qabr-E- Payambar Pe Le Chala Hu Mai
Wo Boli Roroke Bhaai Ye Kya Sunaata Hai
Wo Koun Hai Jise Beemar Tu Bataata Hai
Sunaani Kiski Hai Ye Mujh Ko Haul Aata Hai Ke Mustafa Ki Lahad Se Tu Kehne Jaata Hai
Amaama Phaink Ke Usne Kaha Duhaai Hai
Tere Hussain Ki Sughra Sunaani Aayi Hai
Zamee'n Pa Haaye Pidar Kehke Gir Padi Sughra
Qabar Ye Phaili To Maatam Har Ek Ghar Me Huwa
Tamaam Aurte'n Nikli Gharou Se Karti Bukaa
Nabi Ki Qabr Pa Jaakar Basheer Ne Ye Kahaa
Safar Se Lut Ke Idhar Bhooki Pyaasiyaa'n Aayi
Utho Rasool Tumhaari Nawaasiyaa'n Aayi
Basheer Kehta Hai Wallah Rouza Kaanp Gaya
Lahad Se Naala Huwa Waa Hussain Ka Paida
Idhar Zamee'n Pe Tadapti Thi Faatema Sughra
Zanaan-E- Haashmiya Ne Wahaa'n Hujoom Kiya
Hilaa Ke Shaana Kaha Shaah-E- Mashraqain Aaye
Utho Hussain Ke Ashiq Utho Hussain Aaye