watan me qaafela-e- karbala ki aamad hai
sawaariye haram-e- mustafa ki aamad hai
yateem sarwar-e- gulgu'n qabaa ki aamad hai
ghareeb-o- bekas-o- aasna ki aamad hai
tamaam shehr hai shayeq ali ke pyaarou ka
nabi ke rouze pa majma hai dost daaro'n ka
sunaa tha jab se ke aate hai syed-e- akram
qushi se fatima sughra ka tha ajab aalam
kabhi to jhukti thi sajde me wo badeeda-e- nam
kabhi ye kehti thi kyu naani jaan ji gaye ham
watan me aaj shah-e- mashraqain aate hai
chalo chalo mere baba hussain aate hai
uthi ye sunte hi ummul banee'n ba shouqe tamaam
gayi jo muttasil-e- rouza-e- rasool-e- anaam
suna ye shor ke lo aaye shaah-e- arsh maqaam
nazar wo aata hai dekho nishaaan -e- fouj-e- imaam
bade shikwe se hyder ka yaadgaar aaya
alam liye huwe abbas-e- naamdaar aaya
ye nouha padhta tha ghode ke aage aage basheer
madina lut gaya jangal me margaye shabbir
gale pa dilbar-e- zehra ke chal gayi shamsheer
kiya shaheed ghareebul watan ko be taqseer
pada raha jo zamee'n par ye uska jaama hai
kafan mila na jise uska ye amaama hai
bitha ke naaqe ko sajjad-e- naatawaa'n utre
asaa ko thaam ke baa chasm qoo fishaa'n utre
qareeb-e- marqad-e- sultaane ins-o- jaa'n utre aur ahle bait ye karte huwe fughaa'n utre
huwi ghareebo'n pe bedaad ya rasool allah
hussain margaye faryaad ya rasool allah
huwa jo rouze me daaqil wo qaafela naagaah
gire mazaar-e mubaarak pe abid-e- zeejaah
uthaa ke haath ye faryaad ki ba naala-o- aah
tabaahi aagayi ham bekaso'n pe yaa jaddaah
yateem hoke ye naashaad kaam aaya hai
pidar ko khoke watan me ghulaam aaya hai
bada sitam kiya ummat ne ya rasool -e- zaman
kiya huzoor ke pyaaro'n ko zibha tishna dahan
raha sinaa pe sar-e- paak aur zamee'n pe badan
lute ham aise ke baba ko de sake na kafan
na din ko thi hame raahat na chain raato ko
jakad diya tha rasan se hamaare haatho'n ko
gayi lahad pa phir is tarha zainab-e- meh'zu ke ek haath me sheh ka amaama-e- pur qu aur ek haath me hazrat ka jaama-e- gul gu
zabaa'n pe marsia jis ka ye jaa'n gaza mazmu'n
yazeed ne hame loota duhaayi hai nana
behan shaheed ke mujre ko aayi hai nana
hussain bhaai ko ham karbala me chod aaye
ali ke laal ko dasht-e- bala me chod aaye
yateem-e fatima ko nainawa me chod aaye
tumhaare chand ko qaak-e- shifa me chod aaye
ye baad qatl ajab tafreqaa pada nana
gada badan kahi'n aur sar kahi'n gada nana
huwi hussain ke marne se dar badar zainab
gayi yazeed ki majlis me nange sar zainab
kayi mahine rahi qaid nouhagar zainab
ye saqt jaa'n thi ke jeeti phiri idhar zainab
waram hai shaano'n pe dukhthe hai ustoqaa'n nana
ye mere baazu pa rassi ke hai nashaa'n nana