Zaid e shaheed ka hai zabaa'n par ye marsiya
Zulm o sitam se qatl hai jisko kiya gaya
Jaari raha hai chaar baras tak ye silsilaa
Zainulleba ke laal ko maara hai beqata
Haalat ye kya hai deen ke qidmat guzaari ki
Misle Hussain dee'n pe jaa'n apni nisaar ki
Parchaar jisne deen e quda ka sada kiya
Ummat ne usko haye ye kaisa sila diyaa
Koofe me us ghareeb ko zaqmi kiya gaya
Jaa'n deke deen e Mustafa ko hai bacha liya
Zaqmi to pehle teer se abd e quda hua
Marne ke baad zulm hai us par siwa huwa
Maatam kunaa zameen thi rota tha aasmaa'n
Ibn e Ali ki laash pe bhi zulm tha rawaa'n
Aulaad sayyada ki hai koofe me be amaa'n
Aasaar gham ke zaid ke laashe se the ayaa'n
Sooli pe sar buland tha laasha shaheed ka
Udh udh ke qaak padhti thi nouha shaheed ka
Us par bhi gham na kam hua zaid e shaheed ka
Sooli se tan utaara tha zaid e shaheed ka Aur phir jasad jala diya zaid e shaheed ka
Koi nashaa'n naa reh saka zaid e shaheed ka
Baqi dilou me aaj hai ulfat ghareeb ki
Jannat nashaan aaj hai turbat ghareeb ki
Loota hai aaj mout ne aale nabi ka ghar
Maatam kiya imaam ne ibne imaam par
Zer e alam hai fatima zehra bhi nouha gar
Dunya se uth gaya wo jo tha deen ka sipar Phir se mila hai aaj naya gham batool ko
Dete hai aaj bete ka pursa rasool ko