zaqmi jo ran me fatima ka gulbadan huwa aur purze purze tan me libaas-e kohan huwa
ghash pusht-e- zuljanaah pa shaah-e zaman huwa
dast-e alam se chaak nabi ka kafan huwa
zaqmo'n ke mu se qoon ke darya ubal pade
sar nange qabr se shah-e mardaa'n nikal pade
mazloom kehta jaata tha mai be gunaah hoo'n
maaro na mujh ko sibt-e risaalat panaah hoo'n
tum logo'n ka quda ki qasam qair qaah hoo'n
is qoul par quda ko mai rakhta gawaah hoo'n
kuch raham aata tha na kisi naabekaar ko
shamsheere'n maarte the ghareebud dayaar ko
nezaa laga jo seene pa tharra ke reh gaye
baitha jo teer maathe pa tyoraa ke reh gaye
girne lage to haatho'n ko latkaake reh gaye
shukr-e quda zubaan se farmaake reh gaye
akbar na the jiluh me na abbas paas the
mazloom beech me tha adu aas paas the
seene pa bhala rakh ke giraaya hussain ko
ji bhar ke zaalimo'n ne sataaya hussain ko
girne pa qaak toda banaya hussain ko
hai zulm ki ye had ke ghash aaya hussain ko par dekhiyo hawaas shahinshaah-e nek ke
sajde me sar jhukaa-diya haatho'n ko tek ke
aaya sarhaane tegh bakaf shimr-e roo siyaah
bola gala ke mai hu payambar ki bosagaah
dil ne kaha ke seena hai ganjeena-e ilaah
baitha ye us jaga ke unhe jaaye sharreh aah
is zulm-e- nou se charq-e kohan kaanpne laga
aisa hussain tadpe ke ran kaanpne laga
dyodi pa aaye sab harame baade shaahe dee'n
boli ye peet peet ke sar zainabe hazee'n
aaya koi yaha'n hai musalmaan ya nahi
baitha hai kis buzurg ke seene pe ye laee'n
aye ibne saad fatima ka kunba rota hai
tu dekhta hai bhai mera zib'ha hota hai
paani wo maangte hai pilaata nahi koi
is dard ko qayaal me laata nahi koi
kya qahar hai ke paas bhi aata nahi koi
seene se be hayaa ko uthaata nahi koi
amma tumhaari peet-ti hai bilbilaati hai
wo bete se lipat thi hai hoore'n chudhaati hai
akbar ka sadqa aap mere kaam aaiye
loundi ke baal kholke bewa banaaiye
aaqir huwa suhaag meri nath badhaaiye
bhaabi hassan ko roti thi kyunkar bathaaiye
rand saala mai talab nahi karti janaab se
mahroom to na rakhiye azaa-e sawaab se
zainab ne baal khol ke ran ko qadam badhaaye
saidaaniya bhi sath chali gardane jhukaaye
zainab pukaari haaye mere bhai jaan haaye
bhaiyya pukar lo ye behan kis taraf ko jaaye
bheju kise talaash ko sab mere margaye
aankhe behan ki dhoondti hai tum kidhar gaye
har bibi baal khole hue qaak udhati thi
par baanu e hazee'n ko kuch ban naa aati thi
jab sar ke kholne ke liye hath uthaati thi
kuch dil me apne sonch ke wo thair jaati thi
churiyaa'n to phir rahi thi dile paash paash par
ek aah aasmaa'n pe thi ek aah laash par
aqir tadap ke hazrate zainab ko di nida
ek din wo tha ke qaab me taale hue risa
jannat se aayi loundi ke ghar ashraffunnisa
sar goondha aur phoolne phalne ki di dua
aashiq jo paaya mujhko shahe mashraqain ka
dikhla diya jamaal jaanabe hussain ka
ek din ye hai ke saamne hai lasha e hussain
sar kholne ka waqt hai hangaam shoro shain
mujhko adab hai fatima zehra ka farqe ain
ye kaam hai tumhara ke ho unki noore ain
ye sar wahi hai ab ke mai bandhi me aayi thi
apni rida ali o wali ne udhaayi thi
zainab pukaari aao gale se lagaau mai
aao jabee'n pa qaak malu nath badhaaoon mai
maa ne dulhan banaaya tha bewa banaaun mai
maango duaa zameen phate aur samaaoon mai
hai hai bichad ke gor kanaare gaye hussain
jeeti rahi mai rone ko maare gaye hussain