ek jaa'n laakh qareedaar ayaazan billah
pyaase par teero'n ki bouchaar ayaazan billah
na koi yaar na ghamqaar ayaazan billah
har taraf zaalim-o kuffar ayaazan billah
apne rutbe ka kisi ko na shanasaa dekha
dekha pyaase ne jise qoon ka pyaasa dekha
teen baari huwe jab pyaas se behosh imaam
aaqirul amr kiya pyaas me rokar ye kalaam
ayyuhannaas mere qatl pa khaincho na husaam
pyaas se teen shab-o roz ki hai kaam tamaam
ab koi pyaaso'n me baaqi nahi mai tanha hoo'n
chaaho paani do mujhe chaaho na do pyaasa hoo'n
abhi ye kehna chuka tha pisar-e shaah-e najaf
sou hazaar ahl-e jafaa toot pade tegh bakaf
sab kamaa'n daro'n ke teer aur dil-e shabbir hadaf
gird jallad the aur beech me zehra ka qalaf
hoke behosh gire jab shah-e dee'n ghode se
saath hi kood pada shimr-e laee'n ghode se
aaya ghusse me qaree'n shaah ke wo bad aqtar
tegh ek haath me ek haath me khainche qanjar
be adab ne jo ye chaaha ke chadhe seene par
shaah chupke se ye bole ke tehar shimr tahar
sunle dunya me mere baad tujhe rehna hai
tujhse kuch apne yatimou'n ke liye kehna hai
keh to doo'n aage amal is pa tu kar ya ke nakar
shimr bola ke bhala qair kaho aye sarwar
kaha sheh ne meri gardan pa chale jab qanjar
qibla roo laash litaa dena udhaa kar chaadar aur itna tu meri rooh pa ahsaan karna
dekh saidaaniyo'n ke sar ko na uryaa'n karna
qatl waaris huwe ab unko sataane se kya
jiska waali na ho us ghar ke jalaane se kya
aap hi rote hain bevo'n ke rulaane se kya
nange sar parda nashino'n ko phiraane se kya
ya to rouze pa nabi ke unhe pahuncha denaa
ya unhe wariso'n ki laasho'n pa bithlaa denaa
beti ek chaar baras ki hai sakina meri aah
dekh tu usko tamaache na lagaana gumraah
wo jo roye na gurakhna na daraana lillah
mai ne naazo'n se use paala hai qaaliq hai gawaah
kal talak thi mere seene pa wo sone waali
ab wo hai saaheb-e maatam meri rone waali
shimr bola ke sakina ko bohat chahte ho
sheh ne farmaaya ke haa'n sab me hai pyaari mujhko
sang dil bola ke bas qair tum ab kuch na kaho
mai nahi sunta sakina ki sifaarish na karo
main tamaache use maarunga ghurak bhi doonga
jitni di jaayegi eezaa mai usi ko doonga