Kanz e Aza

GHAR SE JAB BAHRE SAFAR SYED-E- AALAM NIKLE

A marsiya for Safar e Imam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

ghar se jab bahre safar syed-e- aalam nikle

sar jhukaye huwe ba dida-e- purnam nikle

khai sho farzand kamar baandh ke baaham nikle

roke farmaya ke is shehar se ab ham nikle


raat se girya-e- zehra ki sada aati hai

dekhe'n qismat hame kis dasht me le jaati hai


ruq kiya sheh ne sooe qabre shahinshaahe anaam

bahre tasleem jhuke muttasile baabe salaam

izn padh kar jo gaye qabr ke nazdeek imaam

arz ki aaya hai aaj aaqri ruqsat ko ghulam


ye makaa'n ham se ab aye shaahe zaman chut'ta hai

aaj hazrat ke nawase se watan chut'ta hai


chain se sab hai gharoun me, mujhe milta nahi chain

saqt aafat me hai ab aapka ye noorul ain

tukde dil hota hai jab roke haram karte hai bain

nanhe bachhou ko bhala leke kidhar jaaye hussain


shaher me chain na jangal me amaa'n milti hai

dekhiye qabr musafir ko kaha'n milti hai


ab mere sar ke liye tez huwe hai qanjar

ahl-e- kee'n shar pa kamar bandhe hai ya qair e bashar

aap ne di thi isi roz ki amma ko qabar

waaleda royi thi do roz talak peet ke sar


is nawase ko magar bhool na jaana hazrat

zibha ke waqt madad karne ko aana hazrat


ye wo din hai ke parinde bhi nahi chodte ghar

mujhko dar pesh hai in rozo'n me aafat ka safar

hai kahi'n qatl ka samaan kahi'n lutjaane ka dar

saath hai bachhou ka aye baad e shahe jinn-o- bashar


tang jeene se hu paas apne bulalo nana

apni turbat me nawase ko chupalo nana


ye bayaa'n karke jo taaweez se lipte sarwar

yu hili qabr ke tharrayi zaree-e- anwar

aayi turbat se ye aawaz-e- habeeb-e dawar

teri ghurbat ke mai sadqe mere mazloom pisar


koi samjha na meri god ka pala tujhko

haaye aada ne madine se nikala tujhko


aye mere gesuo'n wale mere saber shabbir

mere bekas mere mazloom musafir shabbir

na raha koi tera yawar-o- naser shabbir

haaye aye gor-e gharibaa'n ke mujawer shabbir


tu jaha'n jayega pyare wahi chalta hu mai

qaak udata huwa turbat se nikalta hu mai


kayee din se teri madar ko nahi qabr me chain

aayi thi shab ko mere paas ye karti huwi bain

ghar mera lut'ta hai faryaad rasool us saqalain

subha ko apna watan chodh ke jata hai hussain


kehne aayi hu ke mu qabr se modungi mai

apne bacche ko akela to na chodungi mai


sunke ye sheh ne kiya aaqri ruqsat ka salaam

nikle rote huwe jab rouza-e- anwar se imaam

qabr par maa ki mujhe le chalo ya shah -e- anaam

log hamraah hai mahmil me, mai kyu kar ro'u

maa ki turbat se phir ek baar lipat kar ro'u


maa ki turbat pa gaye shaah ba chashme qoon baar

utri mahmil se basad aah-o fugha'n zainab-e zaar

doudh kar qabr se lipte jo imaam-e- abraar

haath zehra ki lahad se nikal aaye ek baar


aayi aawaz na ro dil ko qalaq hota hai

qabr hilti hai kaleja mera shaq hota hai


haa bulaao mera abbas-e- dilawar hai kidhar

wo fida hai mere bache pa mai sadqe uspar

shikam-e- ghair se go hai, pa wo mera hai pisar

ye sada sunke baradar ko pukare sarwar


abhi rahwaar ko aage na badhaao bhai

yaad farmati hain amma idhar aao bhai


aake abbas ne sar rakh diya paa'ene mazaar

aayi zehra ki sada mai teri ghurbat ke nisaaar

apne pyarou ke barabar mai tujhe karti hoon pyar

dhyaan bhai ki hifaazat ka rahe aye dildaar


koi ghurbat me use maar na daale beta

mera shabbir hai ab tere hawale beta