insaa'n ke liye mout hai gham bewatani ka
jaa'n kah hai andoh-o- alam bewatani ka
sadma nahi kuch mout se kam bewatani ka
aafaat hai qayamat hai sitam bewatani ka
kanto'n ke alam syed-e- sajjad se poocho
eezaa-e- safar muslim-e- nashaad se poocho
ki saqt dagha kufiyou'n ne ghar se bula ke
sab phir gaye jin logo'n ke daawe the wafa ke
lakho'n hai adu jaaye'n kidhar jaan bachake
aafat me giraftaar huwe kufe me aake
yawar nahi hamdam nahi ghamqaar nahi hai
narghe me hai aur koi madadgar nahi hai
hai sangdil aise wo jafaakar-o- sitamgar
kotho'n se lagane lage mazloom pa pathar
noorani badan hogaya majrooh saraasar aur saamne se mu pa laga zulm ka qanjar
kyu gir na pada haaye falak phat ke zami'n par
laale lab-e- jaa'n baqsh gire katke zami'n par
muh karke soo-e- charq kaha shukr khudaya
raahat hai ye bande ne jo kuch zulm uthaya
gham ye hai ke hai door yadullah ka jaaya
shabbir ke haato se kafan ham ne na paya
dunya se sue quld koi dam me safar hai
yaa'n hampe jo kuch bangayi kya unko qabar hai
ye kehte the muslim ke laeeno'n ne qazaara
ek sange sitam is labe majrooh pa mara
resh aur garebaa'n me lahu bhar gaya saara
jab haal ye pohncha to kaha jang ka yaara
aada se kaha dil me zara reham ko jaa do
ghash aata hai paani mujhe thoda sa pilaado
kab sunte the bekas ka suqan zulm ke baani
the qatl ki tadbeer me wo dushmane jaani
le aayi zaeefa wahi'n ek jaam me paani
qismat ne magar bujhne na di tashna dahani
sookhi hui thi gul si zabaa'n qushk gulu tha
us paani ko mu se jo lagaya to lahu tha
phainka use jab qaak pa baa deeda e giryaa'n
ek jaam zaeefa ne diya phir unhe us aa'n
peene bhi na paya tha koi ghoont wo zishaa'n
paani me juda hoke gire gouhar-e- dandaa'n
farmaya ke saabit hua pyase hi marenge
ab saaqiye kousar hame sairaab karenge
dushman to kayi sau(100) the ye be yaar-o- madadgar
barchi kabhi padhti thi kabhi padhti thi talwar
andoh pe andoh the aazaar pa aazaar
kis yaas se ek ek ka mu takte the har baar
baazu ko sitamgaar jo baandhe the rasan se
fawwara-e- khoo'n chut-ta tha har zaqme badan se
al-qissa labe baam jo laaya unhe saffaak
tar aansuo'n se hogaya muslim ka ruq-e- paak
faryaad sue kaaba ye ki baadil-e- ghamnaak
roohi ba fidaak aye pisare syed-e- loulaak
karta hai safar qalq se ghamqaar tumhara
mouqoof hai ab hashr pa deedar tumhara
farmaake ye gardan tarafe qibla jhukaayi
shamsheer jafaakaar ne chamka ke uthaayi
aawaaz ye maqdooma-e- kounain ki aayi
marta hai har awwal mere bacche ka dohaayi
is zulm se baaz aa jo quda ka tujhe dar hai
zaalim sar-e- muslim pa mera haath sipar hai
mere liye kam hashr ke din se ye nahi din
turbat se mai nikli hu liye laasha -e- mohsin
mazloom ko to qatl tu karta hai wo lekin
bin baap ke hojaayenge bacche kayi kamsin
qoo'n sar pe na le chod'de aawara watan ko
kar bewa na abbas-e- dilawar ki bahan ko
zehra ne kayi baar tadap kar ye pukara
kya dil tha ke mutlaq na dara wo sitam aara
zalim ne kayi zarb me sar tan se utaara
phat-ta hai jigar ab nahi goyaayi ka yaara
likha hai chala leke jo qaatil sar-e- muslim
kothe ke tale phaink diya paikar-e- muslim