jab izn paani laane ka abbas ko milaa
bacchou ko jamma karke sakina ne ye kaha
jaate hai ab furaat pa dekho mere chacha
kuch der aur sabr karo tum pa mai fidaa
paani ki mai sabeel yaha'n par lagaaungi
asghar ko sab se pehle mai paani pilaaungi
lehra raha hai dekho fazaaou'n me wo alam
tezi se jaa raha hai soo-e- naher dam badam
chaaya huwa alam pa hai abbas ka karam
ab hogaya yaqeen ke paani piyenge ham
mashkeeza bhar ke naher se abbas aayenge
pyaaso'n ko dono haatho'n se paani pilayenge
pyaasa hai teen roz se maasoom beqataa
paani ka ek qatraa bhi usko nahi mila
karbobala ki dhoop hai aur garm hai hawa
sookha huva hai pyaas se besheer ka gala
lab tar karungi unke to wo muskurayenge
phailaaye dono haatho'n ko godi me aayenge
ye zikr is taraf tha udhar fouj-e- naabekaar
baadal ki tarha chaane lagi phir se ekbaar
ahle jafaa se bhar gaya maidaane kaarzaar
chilla rahe the saar-e jafa jo sitam shiyaar
paani pahonch sake na imaam-e- hussain tak
mashkeeza jaa sake na qayaam-e- hussain tak
naagaah ek waar kamee'n gaah se huwa
shaana jari ka hoke juda jism se gira
kuch door aur aage bade the ke aah aah
tegh-e sitam se doosra shaana bhi kat gaya
daatho'n se mashk thaam ke abbas rehgaye
darya lahu ke jism-e mubarak se beh-gaye
aise me ek teer laga aake mashk par
mashke sakina chid gayi tharragaya jigar
paani ke saath beh gaye ummeed ke gohar
jhuk kar alam ne ghode ki baagho'n me di qabar
saqqa-e- ahlebait ke shaane qalam huwe
bin bhaai ke jahaan me shah-e- umam huwe
akbar ki simt dekh ke bole shahe huda
tooti kamar hussain ki aye mere dil ruba
beta hamara quwwate baazu hua juda
lo ho gaya hisaare hifaazat shigaafta
dil me hamaare naiza e ranjo malaal hai
bhai ke gham me bhai ka jeena mohaal hai
ye kehke hamlaawar huwe foujou'n pa shaahe dee'n
hamshakl-e- mustafa ne ulatdi jo aastee'n
tharraa gayi furaat larazne lagi zami'n
jaane bachake bhaag gaye ran se sab laee'n
pahonche hussain tezi se bhaai ki laash par
hasrat baras rahi thi tane paash paash par
bhaai ke sar ko shaah ne zaanu pa rakh liya
the paayenti khade huwe hamshakl-e- mustafa phir roke apne bhaai se bole shahe huda
dekho hussain aaya hai aye jaan-e- murtuza
ab aa chukaa hai waqt-e- judaai pukaar lo
jaane se pehle bhaai ko bhaai pukaar lo
aankho'n ko apni khol ke bola wo tashnakaam
sharminda hai sakina se abbas ya imaam
laasha uthaane ka na kare aap ehtemaam
ab hashr tak rahega hamara yahi'n muqaam
lillah baqsh deeje shafa'ath ke naam se
koi kami hui ho agar is ghulaam se
phir sheh ki simt dekh ke abbas ne kaha
ye sab karam hai aapka ya shaahe karbala
riqqat ka josh badh gaya ghutne laga galaa
bhaai ke ek lafz me tha poora marsiya
bhaai kaha toh rooh badan se nikal gayi
zaanu pa sheh ke gardan-e abbas dhal gayi